Welcome to my blog!

Meet the Author

Blessed with the best _ Alhumdulillah!a million times for every blessing in my life.

Looking for something?

Subscribe to this blog!

Receive the latest posts by email. Just enter your email below if you want to subscribe!

Sunday, July 6, 2014

Friday, July 4, 2014

Thursday, July 3, 2014

Han Theek Hai Main Anaa Ka Mareez Hoon

Tujh Bin 
Jo Tera Kuch Nahin Lagta
Pareshan Rehta Hai ___!




Agar rastaa badalna h0 t0 kch mushkil nahi m0hsin ....
bara sada sa jumla h 
sitary mil nahi sakty ...


Arey _!
Tum Wohi Ho Na
Jo Kabhi Mere Hua Kartay Thy __!


Log Badalte Nahin 
Be_Naqab  Hotay Hain_


Tum Mujhay Yaad Ab Nahin Aatay
Tum Mujhay Yaad Ho Gaye Ho Ab 


Han Theek Hai Main Anaa Ka Mareez Hoon
Akhir Mere Mizaaj Main Kiun Dakhal Dey Koi !

Nafrat Kabhi Na Karna Tum Hamse


Nafrat Kabhi Na Karna Tum Hamse
Ye Hum Seh Nahi Payenge

Ek Baar Keh Dena Humse Zarurat Nahi Ab Tumhari
Tumhari Duniya Se Haskar Chale Jayenge…..!

Mila k hath ik rooz khud hi daman chura lia us ne,


Mila k hath ik rooz khud hi daman chura lia us
ne,

wohi shakhas jo aaghosh me sone ki zid karta
tha...!!

Lay K Dil Ye Muft Ka ehsaan Mujh Per Dhar Diya...


Lay K Dil Ye Muft Ka ehsaan Mujh Per Dhar
Diya...

Boussa De K Kehte Hain
Nuksan Tera Bhar Diya.


Kya Zauq Hai Kya Shauq Hai So Martaba Dekha.


Kya Zauq Hai Kya Shauq Hai So Martaba
Dekha.
Phir Bhi Ye Kahon Jalwa-e-Janaa'n Nahi Dekha.

Mehshar Me Wo Naadim Hon Khuda Ye Na
Dikhaye.
Aankhon Ne Kabhi Is Ko Pashaimaan Nahi
Dekha.

Har Chand Tere Zulm Ki Kuch Hadd Nahi
Zaalim.
Par Hum Ne Kisi Shakhs Ko Nalaan Nahi Dekha.

Milta Nahi Hum Ko Dil Gumshudaa Hamara.
To Ne Kahin Aaye Ghum-e-Janaan Nahi Dekha.

Lo Aur Suno Kehte Hain Wo Dekh K Mujh Ko.
J0 Haal Suna Tha Wo Pareshaa'n Nahin Dekha.

Kya Pochte Ho Kon Hai Ye Kis Ki Hai Shohrat.
Kya Tum Ne Kabhi ZafaR Ka DewaaN Nahi
Dekha.

Yaaro Main Usko Apni Palko Pe Bitha K Rakhunga.


Yaaro Main Usko Apni Palko Pe Bitha K
Rakhunga.
Us k Har Ek Khwab Ko Haqiqat Me La
Rakhunga.

K Dunya Dekhti Jayegi Tab Meri Muhobbat Ko.
Jab Kadmo Me Us k Mahobbat Ko Juka K
Rakhunga.

Kesa Haseen Manzar Sajega Uski Zindagi Me
Yaro.
Jab Me Us Haseen Chand Ko Zameen Pe La
Rakhunga.

Is Had Tak Uski Mahobbat K Geet Gaunga
Yaaro.
Khud k Sangeet Ko Uski Panaho Me La
Rakhunga.

Ye Dikhana Hai Main Kis Kadar Use Chahta
Hon Yaro.
K Khud Ko Uski Hi Zaat Ka Ek Hisa Bana k
Rakhunga.

Wo Kahegi Bas Mere Deewane Itni Muhobbat
Na Kia Kar.
Kasam Se Main Muhobbat Ki Aisi Sogaat Bana k
Rakhunga.

Ye Mahobat Hai Meri Is me Ab Koi Khata Nahi Hogi.


Ye Mahobat Hai Meri Is me Ab Koi Khata Nahi
Hogi.
Bas Khushiun K Baadal Chaynge Gham Ki Koi
Waja Nahi Hogi.

To Kehti Hai Shayd Raahon Me Mahobat K
Mushkilen Aaygi.
To Sun Bina Mushkil K Tu Ye Mahobat Kabhi
Jawa Nahi Hogi.

Kab0l Hai Har Imtehaan, Har Ek Intekaam
Mujhe Taqdir Ka.
Taqdir K Hote Sitam Par Ab Rehm Ki Koi Dua
Nahi Hogi.

K Bohat Seh Chuka Main Is Taqdir Ki Thokaren
Ae Meri Jan.
Ab Ek Bhi Thokar or Hui Tu Taqdir Se Koi
Sulaah Nahi Hogi.

Chahe Q Na Larna Parhe Mujhe Ab K Saari
Kayenaat Se Bhi.
Par Yakeen Kar Ho kar B Ye Mahobbat Ab
Kabhi Juda Nahi Hogi.

Ye Waada Raha Aaj Tujh se ...
Jis Raat Saji Tere Hatho Me Mehndi Wo Sirf
Mere Naam Ki Hogi.

Warna Us Raat Ke Baad Meri Zindagi Ki Kabhi
Subha Nahi Hogi.

Bheegi Bheegi Aankhon Se Sone Ki,


Bheegi Bheegi Aankhon Se Sone Ki,
Jhoote Moote Khuwab Pirone Ki,
Kisi Ko Pane Ki Kisi Ko Khone Ki.
Tanhaiyon Me Bewaja Rone Ki,
Chup Chap Takleefon Ko Sehne Ki,
Khud Ko Bura Bhala
Kehne Ki,

Tanhai Ki Dunya Me Rehne Ki.
Toofan-e-zindagi Me Behne Ki.
Mujhe Aadat Si Ho gai Hai
Muhabat K Liye Tarasne Ki.
Bin Badal Barasne Ki.
Aansuon K Sang Hansne Ki.
Khuwabon Ki Dunya Me Basne Ki.

Han Mujhe Aadat Si Ho gai Hai.
K Meri Zindagi Kahin Kho Gai Hai.

')