Kahkashan Khan Blog This page is dedicated to all the art, poetry, literature, music, nature, solitude and book lovers. Do what makes your soul happy. Love and Peace. - D
Tuesday, February 26, 2013
Monday, February 25, 2013
Usay kehna !
Usay kehna !
December ja raha hai
Aur december ki akhri sham hai
Aur december k guzartay hi
Baras ik aur mazi ki fiza main doob jaye ga
Usay kehna!
December k guzarnay say zara phailay
Mohabbat ki kahani ko koi takmeel day jana
Usay kehna!
December ka maheena jaisay hi guzray ga
Umeedyen doob jayen gi
Woh sapnay toot jayen gay
Usay kehna!
December k guzarnay say zara phailay
Mohabbat ko koi tabeer day jay
Usay kehna!
Muqadar ko hamaray dob janay say bacha layna!
Sunday, February 24, 2013
Ager tum kamyabi chahtay ho....!
Ager tum dill griftah ho
k tum har jao gay
to phir tum har jao gay
ager khatir shikastah ho
k tum kuch kar nahin saktay
yaqeenan kar nahin pao gay
yaqeen say aari ho kar
manzilon ki simt chalnay say
kabhi manzil nahin milti
kabhi kankar k jitnay hoslay walon
say bhari sill nahin hilti
zamanya main hamesha kamyabi
un k hissay main aati hai
jo awal din say apnay sath
ik azam musmam lay kar chaltay hain
k jin k dill main azam o hosla ik sath paltay hain
ager tum chahtay ho kamyab o kamran hona
to bus rakhta e safar main
tum yaqqen o azam ki mash
al jala rakhna
safar dushwar tar ho
tab bhi himmat , hoslah rakhna
safar e aghaz jab karna
to bas itna samjh layna
jahan main kamyabi ki yaqeen walon say yaari hai
ager tum bhi yaqeen rakho
to phir manzil tumhari hai__________With kahkashan khan
http://kahkashankhan1990.blogspot.com/
Saturday, February 23, 2013
Friday, February 22, 2013
Mujhay Tanha Nahin Krana.......
Mujhay tum say yeh kehna hai!
mujhay parchayon, tanhaiyon say khouf aata hai..
mujhay tanha nahin karna
mujhay tum ko batana hai!
meri sochon k jangal main
tumharay naam k jugnoo rasta dikhatay hain
inhai bhujnay nahin dayna
meri neendon k shra main
tumharay khwuab ka saaya bohat ziada zaroori hai
isay ghatnay nahin dayna
yeh to tum bhhi jantay ho na!
mere lafzon ki maalayen
meri sari taman'nayen
tumharay bin adhor hain
meri har soch k angan main tum hi jagmagati ho
mere be rabt jumlon ko tumhi misray banati ho
meri sab shairi janaa!
tumharay bin adhori hai
meri har ik khushi janaa!
tumhary bin adhori hai
mri ye zindagi jana!
tumharay bin adhori hai
meri takmeel tum say hai
mujhay aadha nahin karna
mujhay adhi adhuri zindagi say khouf aata hai
kami jaisi bhi ho mujhko kami say khouf ata hai
mujhay tum say yeh kehna hai!
kabhi aisa nahin karna
mujhay tanha nahin karna
meri takmeel tum say hai
mukammal tum hi kardo na!
mere jevan ki tanhai main apna ran bhar do na!
mujhay tum say yeh kehna hai!
mujhay parchaiyon , tanhaiyon say khouf ata hai
haqeeqat ashna mere!
kabhi aisa nahin karna
main tum bin ji nahin sakta
mujhay tanha nahin karna...
Neened Naraz Rahi........................
Mainay ik pal ko tera naam lia tha shaed
neend naraz rahi raat meri ankhon say
Kwuab zaron ka tasawur bhi hua khuab numa
Dill ki hartal hui dard ki ahat jaisay
Soch main khilnay lagay phool kai mazi kay
Titliun jaisay kai lafz mujhay yaad aaye
Teri awaz ki khushboo, tere lahjay ki khatak
Teri ankhon ki shararat, tere honton ki mehaik
Tere bolay huai jumlon ki woh khamosh kasak
Dair tak raat rahi phir teri yadon ki dhunk
Kitnay aansoo mere lafzon main dhalay yaad nahin
Kab talak yaad k yeh deep jalay yaad nahin
Mainay ik pal ko tera naam lia tha shaed
Neend naraz rahi raat meri ankhon say..........
____With Kahkashan Khan
Barish Main Bheeg Kar!!!!!!!!!!
Barishon main bheeg kar
Woh aksar kaha karta tha
mujhay 2 chezayen bohat piyari lagti hain
aik barish aur ik tum
barish mujhay is lia piyari lagti hai
Kiun k barish tumhari yaadyen lay kar aati hai
Tum mujhay is lia piyari lagti ho
Kiun k tumhari yaadyen
Barish ko aur bhi pyara bana dayti hain
Aaj barish main akailay bheeg kar
Janay kiun!
Mera dill mujhsay bar bar keh raha tha
K main barish ki har ik boond say poochun
k
Usay barish aj bhi pyari lagti hai...???
___With Kahashan khan
~~Gham e Ashiqui Tera Shukriya.~~
Kabhi ruk gaaye
Kabhi chal diye
Kabhi chaltay chlatay
Bhatak gaye...
Younhi omer sari guzaar di
Younhi zindagi k sitam saahai
Kabhi neend main
Kabhi hosh main
Tu jahan mila
Tujhai daikh kar
Na nazar mili
Na zuban hili
Younhi sar jhuka k
guzar gaaye
Kabhi zulf par
Kabhi chasham par
Kabhi
Tere haseen wajood par
Jo pasand thay
Meri kitaab main
Woh shair saray bikhar gaaye
Mujhay yaad hai
Kabhi aik thay
Magar aaj hum hain juda juda
Woh juda huay
To sanwar gaaye
Hum juda huai
To bikhar gaaye
Kabhi arsh par
Kabhi farsh par
Kabhi un k dar
Kabhi darbadar
Gham e ashiqui
Tera shukriya
Hum kahan kahan
Say guzar gaaye
________With Kahkahsan khan
Monday, February 18, 2013
MUMKIN HAI MERA MAN'NA.....
Mumkin hai mera man'na........K jo socha hai.......Sab waisa hi hai.......Mushkil hai yeh jan'na.......K jo samjha tha........Woh kuch bhi nahin hai..........
Aisa hua..........To kia kar
Paunga.........???
Aur waisa hua...........To Shyed mar
jaunga.........!!!
mumkin hai mera jan'na k ..........Kisi nay mujhay pukara hi nahin hai......
Mushkil hai ye man'na.........K mere bas main.......Kuch bhi nahin hai..
___With Kahkashan Khan
Meri Zindagi Main Faqat Do Hi Kaam Na-Mumkin Rahai...
Meri Zindagi Main Faqat Do Hi Kaam Na-Mumkin Rahai......
Tujhai Paa laynay Ki Tamanna ya Phir Tujhai Bhool Janay Ki Khuahish.:)
Meray Dost !
Mere Dost!
Mainay yeh soch kar
tum say dosti ka hath barhaya
k tumharay takhalaat ka prinda
bohat unchi oran par hai
jahan tak shayed
mere tasawurat ka parinda na pohanch sakay
Magar A Dost!
jab mujhay yeh maloom hua k
tum aisay nahin ho
to us waqt tak
main tum ko
kho chuki thi
haan
kho chuki thi hamaisha hamaisha k lia.........
____With Kahkashan Khan
OR PATA HAI PHIR KIA HUA........................
pata hai phir kia hua hai main frezed hogai hoon apni jagah........Main hil nahin pa rahi hoon aisa lagta hai mujh par koi mantar phoonk dia hai kisi nay......... Na to main is sheher say azad hona chahti hoon, Or nahi yeh mere bas main hai..........
Meri nason main chalnay walay lahoo ki sansanahatayen mere wajood ko be bus kar rahi hai.......... Apnay hi haton ki thandak say main namanoos hogai hoon............Jaisay barf ki tarh mere wajood main hisasiyat khatam hogai hai........ Har khuwab ki omer palk jhapaknay ki omer ban gai hai..........Ek awaz ki garmi shayed mujhay hosh o biyan ki duniya main wapis lay k aaye............. Shayed koi mujhay is talseem say azad kar day............Is band qilay main kaheen koi darar dal day............Har lamha bezuban kiun hai...........Har aahat benishan kiun hai............Jaisay dehliz par rakha aik diya kud ki parchai ko khud say bara kar day................
____With Kahkashan Khan
Shukria!!!
Youn rah e wafa ki saleb par do qadam udanay ka shukriya............Bara pur khatar tha yeh rasta tere lout janay ka shukriya............Jo udas thay tere hijar main jinhai bojh lagti hai zindagi.............sar e bazam youn unhai daikh kar tere muskuranay ka shukriya..............Teri yaad kis kis baihes main mere sher o naghma main dhal gai...............Yeh kamal tha teri yaad ka, mujhay yaad anay ka shukriya............Jo zamanay bhar ka ossool tha, wo osool tu nay nibha dia................yehi rasam theri hai mout' baar mujhay bhool janay ka shukriya.........______With kahkashan khan
Sunday, February 17, 2013
I don't know why i missing you.......
I still remember the first time you said I Love You
Istiil remember the our silly fight.
I still remember that when you smile, I get dazzled.
I still remember when you hug me first and it made me feel complete and at peace.
I still remember how you called my name. and i used to fall in love with my name.
I still remember you protecting me in rain so that i won't get cold.
Istill remember, that when everyone was against me, you stood up for me.
I still remember everything, our each moments, our smile, the places we went, And I still love you like we used to:)
_______With Kahkashan khan
Ae Chand ...!!!
Ae Chand
Usay Kehna
Woh jo door door basta hai
usay koi yaad karta hai
Or
behisaab karta hai
usay kehna
Jab wo kisi aur k sang hansta hai
To phir door bohat door kisi ka dill dharakta hai
Or,
Jab wo udas hota hai
pass us k na koi gham shanas hota hai
tou phir door bohat door kisi ki ankhon say lahoo barasta hai,
Ae Chand!
Usay kehna
Jisay wo chor aaya tha
Jisay wo tour aya tha
Wo aaj bhi tere aas pass basta hai.
___With Kahkashan Khan
Saturday, February 16, 2013
DECEMBER JAB BHI AATA HAI..
DECEMBER JAB BHi AATA HAi
Wo pagli phir say beetay mosam ko yaad karti hai.
Puranay cards arti hai,K jismain usnay likha tha
MAiN LOT AAOUN GA DECEMBER MAiN
Naye kapray banati hai,Wo sara ghar sajati hai
DECEMBER k har ik din ko wo gin gin k itati hai
Joonhi 15 gzarti hai, Wo kuch kuch toot jati hai
Nahin maloom ye usko, k beetay waqt ki khushiyan
Bohat takleef dayti hain
Mehiz dill ko jalati hain
Younhi din beet jatay hain
DECEMBER lout jati hai
Magar wo khush fehem larki, doobara say calender main
DECEMBER k mahinay k safhai ko mour kar phir say
DECEMBER k sehar main doob jati hai
K akhir usnay likha tha
MAiN LOUTON Ga DECEMBER MAiN
___With Kahkashan Khan
Wo pyar ka saboot dikhaya karta tha.
Wo pyar ka saboot dikhaya karta tha,
Ansoo baha kar mujhay manaya karta tha.
Ye zindagi sirf tum say wabasta hai,
Aksar yeh baat mujhay bataya karta tha.
Uski baaton main kuch aisa asar tha,
Main barish k bina hi bheeg jaya karta tha.
Sonay ki fursat kis ko thi,
Wo mujhay sari raat jagaya karta tha.
Baicheni jab had say barh jati thi,
Wo ji bhar k galay lagaya karta tha.
Wo itni mohabbat karnay wala badal gaya,
Jo saath nibhanay ki qasamkhaya karta tha.
____With Kahkashan Khan
Saaath To Ik Pal Ka Tha!!!
Saath to ik pal ka tha'
phir kiun mujhay yaad aatay ho tum'
aks ki tarah mere dill pay tum'
kiun chha jatay ho tum'
dillbar bhi nahin mere'
hamdam bhi nahin mere'
rastay pyar k mujhay'
phir kiun dikha jatay ho tum?
hum kabhi milay thay'
to ik ajnabi ki tarah'
meri raaton ki neend'
phir kiun ura jatay ho tum'
shahar bhar say hum tumhara'
pata puchtay hain'
kuch is tarah say apna'
deewana bana jatay ho tum'
saath to ik pal ka tha'
phir kiun mujhay yaad aatay ho tum'
__with Kahkashan Khan
kabhi Ulfat bhara lahja, Kabhi utra hua chehra
Kabhi ulifat hara lehja,
Kabhi utra hua chehra.
Samajh main kuch nahin aata,
bata mera gunah kia hai.
Meri uljhan to mita day,
Mujhay itna bata to day.
Main mujrim hoon ya mehram hoon,
saza kia hai jaza kia hai.
meri sansen to chalti hain,
teri yaadon say a humdam...
nahin fursat k yeh sochoon,
fanaa kia hai baqaa kia hai.
mera ye dill meri dharkan,
meri sansyen ye sab Mohsin.
yeh sab kuch naam tere hain,
bataa peechay bacha kia hai.
___With Kahkashan Khan
Mujhsay ye log kehtay hain
Mujh say ye
log kehtay hain
Kahan dill
chor aay ho?
Bohat
chup chaap
rehtay ho
Na bantay
na sanwartay
ho
Na koi baat
kartay ho
Bhari mefil
main bhi aksar
hamaisha
khoye
rehtay ho
udasi
ankhon main
lay kar
har ik
cheray ko
taktay ho
Koi jab yaad
aata hai
touh thandi aah
bhartay ho
touh khul kar
kiun nahin kehtay
kisi ko yaad
kartay ho.......
___With Kahkashan Khan
Zara Panay ki chaht main bohat kuch choot jata hai
Zara paanay ki chaht main,
bohat kuch choot jata hai.
Najanay saber ka dhaga.
kahan par toot jata hai,
Kisay hamara kehtay ho,
Yahan to apna saya bhi.
Kahin par saath rehta hai,
kaheen par choot jata hai.
Ajab shai hai yeh rishta bhi,
bohat mazboot lagta hai.
zara si bhool say likin,
Bharosa toot jata hai.
__With Kahkashan Khan
Subscribe to:
Posts (Atom)