Welcome to my blog!

Meet the Author

Blessed with the best _ Alhumdulillah!a million times for every blessing in my life.

Looking for something?

Subscribe to this blog!

Receive the latest posts by email. Just enter your email below if you want to subscribe!

Monday, September 30, 2013

Chand


Kaho, wo chaand kesa tha?

Kaho, wo dasht kesa tha?

jidhar sub kuch luta aaye

jidher aankhain ganwa aaye,

kaha, selaab jesa tha, bohat chaaha ke bach niklain,

magar sub kuch baha aaye!!!

Kaho, wo hijr kesa tha?

Kbhi choo ker usey dekha?

To tum ne kya bhala paaya?

Kaha, bus aag jesa tha, usey choo ker to apni rooh pe,

tan man jala aaye!!!

Kaho, wo wasl kesa tha?

Tumhain jab choo liya usne,

to kya ehsaas jaaga tha?

Kaha,ik raastey jesa,jidher se bus guzarna tha,

makaa'n lekin bana aaye!!!

Kaho, wo chaand kesa tha?

Falak se jo utar aaya!

Tumhaari aankh main basne.

Kaha wo khwaab jesa tha,nahi ta'abeer thee uski,

usey ik shab sula aaye!!!

Kaho, wo ishq kesa tha?

Bina parkhey kiya tum ne,

Kaha, titli ke rang jesa, bohat kachaa, anokha sa,

jabhi usko bhula aaye!!!

Kaho, wo naam kesa tha?

Jise sehraaw'n or chanchal haawaawn per likha tha.

Kaha, bus mosmo'n jesa, na jaaney kis tarha kis pal,

kisi ro main mita aaye!!!

Chalo tum ko batatay hain


Chalo tum ko batatay hain

K tum ko daikh ker dil nay

Kaha k tum rishtaeay jan say bhi ber ker ho

Doa ki sarhadoon per

Jo adhori hay, meri aise tamunna ho

Meray dil ka moqadar ho

K tum ik roshni bun ker, shifa lay ker

Kabhi dustay masiha ki tarha

Ristay hoey, her zahmay dil per ho



Chalo tum ko batatay hain

K tum iman hamara ho

Seraey deher main andeshaey zindagani main

Tum hi dil ka sahara ho

Jo rooh k asman pay jagmagaya hay, mohabat say

Suhani shaam ki chahatoon ka pehla tara ho

Wafa ka ista-ara ho

Tumharay qorb ki khoshboo say pather ki tarha hum nay

Sulagti dhop main phaylao paya hay

Tumharay pyar ki rangeen kanwal thandi hawa say

Sirsiratay hain

Hum sawun main bhegay payroon ko choo lain to

Tumharay lams ki khoshboo kay lamhay jagmagatay hain



Chalo tum ko batatay hain

K hum nay zindagi k sab warq lay ker

Sab hi satroon main likh li hay tumunna tum ko panay ki

Zamanay bher main shaaed katebay taqdeer k hathoon

Meray dil nay likh li hay tumhari chah ki khahish

Tumhari arzoowoon ka jo ik idrak hay mauj main

Kisi main ho nahi sakta

Chalo tum ko batatay hain

Chalo tum ko batatay hain.............

Merey andar Saans lena chorr de


Merey andar

Saans lena chorr de

Aiy udaasi,

Mera peecha chorr de



Chaand kia aangan mein utra hai kabhi

Meri jaan,

Ye tamanna chorr de



Tu kabhi

Sookhey huye pattoun per likh

Sabaz shaakhoun ka

Qaseeda chorr de…

… zindagi behar-hal zindagi hi rahay gi….





Yeh samander ki tarah hai—waseh aur bay-paya’n, jis ka sirf aik hi kinara hai… aik sahil jahan ronakein hain, mailey hain, charaghan hai, hajoom hain… tanhaiyan aur udasiyan bhi hain. Dosrey kinaarey ki kisi ko khabar nahi. Jo log dosrey kinarey k khabar lainey gaye hain woh abhi takk lautey nahi. Iss taraf rung hi rung hain, naye rung hain aur dosri taraf be rung aur sirf aik hi rung.


Kaun jaaney azal se abad takk, kaun jaaney azal se abad takk ya azal se pehley aur abad k baad bhi zindagi hi hai. Takhleeq honey se pehley yeh khaliq k iraadey mein zinda thi aur takmeel honey k baad yeh khaliq k ro baroo hazir ker di jaye gi….


… zindagi behar-hal zindagi hi rahay gi….


Manzalain Bhi Uss Ki Thin,


Manzalain Bhi Uss Ki Thin, 
Rasta Bhi Uss Ka Tha
Main Aik Tanha Musafir, 
Qafla Bhi Uss Ka Tha
Saath Chlnay Ki Soch Bhi Uss Ki Thi
Rasta Badal Ker Chalnay Ka Faisla Bhi Uss Ka Tha
Ajj Kiyon Tanha Hoon, Dil Yeh Sawal Kerta Hai
Log To Uss Key Thay, Kia KHUDA Bhi Uss Ka Tha??

Chalo ek baar phir say ajnabi bun ja'ain hum dono,


Chalo ek baar phir say ajnabi bun ja'ain hum dono,

Na main tum say koi umeed rakhoon dil nawazi kee,

Na tum meri taraf daikho ghalat andaaz nazron say,

Na meray dil kee dharkan larkara'ay meri baathon say,

Na zaahir ho tumhaari kushma-kush ka raaz nazron say.

Tumhain jo koi anjuman roktee hai paish qadmi say,

Mujhey bhi log kehtay hain kay yeh jalway para'ay hain.

Meray humrah bhi ruswa'eeyan hain meray maazi kee,

Tumharay saath bhi guzree hu'ee raaton kay sa'ay hain.

Ta'aruff rog ho ja'ay tau usska bhoolna behtar,

Ta'alluq bojhe bun ja'ay tau usska torna acha.

Woh afsaana jissay anjaam tak lana na ho mumkin,

Ussay ek khoobsoorat mor day kar chorna acha.

Chalo ek baar phir say ajnabi bun ja'ain hum dono

AgeR Tum Pas Rehtay,


AgeR Tum Pas Rehtay,
=+
+=
=+
May Yu Taqseem Na Hota.

Wo Keh Ke Chale Itni Mulaqat Bahut Hai


Wo Keh Ke Chale Itni Mulaqat Bahut Hai 

Maine Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bahut Hai 

Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shoq Se Jana 

Aisay Main Kahan Jaogi Barsaat Bahot Hai

Dont Compare your Life wth Movies





Dont Compare your Life wth Movies or Dramas.

Bcuse these R Written by Writers Human Beings & your Life Story is Written by ALLAH.


Phir se har boond men us lams ki lazat ley kar,





Phir se har boond men us
lams ki lazat ley kar,
Barishen aag lagane ka
hunar layi hain.

Saturday, September 28, 2013

Jo meri ankho pe mrta tha,


Jo meri ankho pe mrta tha, 
Meri baton pe mrta tha, 

Na jany shkhs tha kesa? 
Mujhy khony se drta tha, 

Wo jb B bat krta tha- 
Yehi hr bar kehta tha, 

Suno..! 

Agr me bhol jaon to- 

Agar me roth jaon to- 

kbhi wapis na aon to- 

Bhula pao gy sb kch kia, 

Yohi hnste rho gy kia? 

Yohi sajte rho gy kia? 

Yehi baten thi bs uski, 
Yehi yaden thin bs uski 

Muje malom hy bs itna "mare 
d0st,! 

Muje wo piyar krta tha! 

Muje khony se drta tha .

Khwahishon Pe Pabandi Chahaton Pe Pehra tha


Khwahishon Pe Pabandi Chahaton Pe Pehra tha 

Rooh Pr Riwajon Ka Zakhm Kitna Gehra tha 

Aaj Tk Mere Dil Me Khushboain Mehakti Hain 

Ek Shakhs Barson Pehle Dil Me Aa K Thehra tha 

Dil K Dasht Pr Aaj Toot K Jo Brsa Hy 

UsKi Yad Ka Badal Sham Hi Se Gehra tha 

UsKe Husn Mein HumNe Chandni Ko Dekha tha 

Wo Shakhs Kya tha Bas Chandni Ka Chehra tha 

Wo Roshni Ka Taalib tha Kho Gya Kahin MujhSe 

Main Rat Ka Musafir tha Hr Traf Andhera tha.


Tanhai K Sehra Mein,


Tanhai K Sehra Mein, 
Yun Chor K Chal Dena! 

Chohti Si Shikayat Par, 
Mun Mor K Chal Dena! 

Ye Kesi MOHABAT Hai? 

Ye Kesi Rafaqat Hai? 

Gar Pas-e-WAFA Rakh Kar, 
Tum Maan Barha Dete! 

Be'Laus Rafaqat Par, 
Emaan Barha Dete! 

Main Fakhar Se 
Phir Kehta! 

Tum 
Jaan-e-Rafaqat Ho! 

Tum 
Baab-e-MOHABBAT Ho! 

Tehreer-e-Sadaqat Ho! 

Ye Sub Hai 
Magar Tab Bhi! 

Hai Mujhko Yaqeen Ab Bhi! 

Jo Kuch Bhi Kaha Main ne! 

Shikwa Hai 
Shikayat Hai 
Lekin Ye Haqiqat Hai, 

Bus Tum se 
MOHABBAT Thi,, 

Aur,,, 


Tum se MOHABBAT Hai.!

Mujh Pay Ek Inayat Kar,


Mujh Pay Ek Inayat Kar, 
December Laut Jaa Wapis, 


K Tere Loat Anay Say Mujhe Wo Yaad Ata Hai.

Boseeda Purane Kisi Saaman Mein Rakh De,


Boseeda Purane Kisi Saaman Mein Rakh De, 
Ya Phir Kisi Toty Howe Guldan Mein Rakh De. 

Chahat K Charaghon Ko To Jalna Hy Jalenge, 
To In Ko Utha Kar Bhaly Tofan Mein Rakh De. 

Qadmon Mein Tere Masly Howe Phool Nhe Han, 
Chahat Ki Chitta Hy Kisi Shamshan Mein Rakh De. 

Saansein Na Chuka Paai Hon Qemat Jo Wafa Ki, 
Ab Jism Ki Matti Ko B Tawan Mein Rakh De. 

MOHSIN Tere Jazbat Yahan Kon Sunega, 
Be Rabt Khayalat Ko Deewan Mein Rakh De.

"Aey Raat" Use Kehna


"Aey Raat" 
Use Kehna 
Wo Jo Door Bahut Door Basta Hai 

Use Koi Yaad Karta Hai 
Or 
beHisaab Karta Hai 

Use kehna 
Jab Wo Kisi K Sang Hansta Hai 

To Phir Dur Bahut Dur 
Kisi Ka Dil Dhadkata Hai 

Or 
Jab Wo Udas Hota Hai 

Pas us k Na Koi Ghum Shanas Hota Hai 

To Phir Door Bahut Door 
Kisi Ki Ankhoon Se lahoo Barsta Hai....!!!

Use yaqeen hai Ham jaan na dain gay


Use yaqeen hai Ham jaan na dain gay 

"FARAZ" 

Mujhe ye dar hai wo Roye ga Aazma k Mujhe.

Chalo Ham Maan Lete Hain.


Chalo Ham Maan Lete Hain.
Tumhen Hum Kho Chuke Lekin.
Tumhari Yaad Ab Tak Bhi.
Hamen Betaab Rakhti Hai.

Hamaari Saans Ab Tak Bhi.
Tmhaari Aas Rkhti Hai.

Mgr Ab Ye Bhi Sunte Hain.
Tumhaari Raah Roshan Hai.

Tumhen Hai Mil Gaya Koi.
Magar Afsos..!
Ham Jesa.. Agar Paao Kahin Tum To.

Mujhe Do Lufz Likh Dena.. K.... 
MANZIL MIL GAI MUJH KO.

Reza Reza Sapno Waly Tooty Chehre


Reza Reza Sapno Waly
Tooty Chehre
Aadhy Log
Jany Waly Kab Aaty Hain
Q Krty Hain Wady Log

Aas Mein Bethi Shehzadi KiReza Reza Sapno Waly
Tooty Chehre
Aadhy Log
Jany Waly Kab Aaty Hain
Q Krty Hain Wady Log

Aas Mein Bethi Shehzadi Ki
Maang Mein Chandi Jhaank Chuki
Itni Dair Se Q Aaty Hain
Aakhir Ye Shehzady Log

Pyar Ki Raah Pe Ungli Thaamy
Andha Dhund Chal Party Hain
Na Smjhi Mein Mar Jaty Hain
Hum Se Seedhy Saady Log

Hum dono Mein Kon Hy Mujrim
Ye Ty Hona Mushkil Hy
Aadha Shehr Tha Haami UsKa
Sath Thy Mere Aadhy Log...

Tu Rooth Kar Gaya Hai To Matt Aa K Mujh Se Yun.


Tu Rooth Kar Gaya Hai To Matt Aa K Mujh Se Yun.

Manzar Teri Shikast Ka daikha Na Jaye Ga!!

Tu Hai "SOORAJ" Tujhe Maaloom Kahan Raat Ka Dukh.......,


Tu Hai "SOORAJ" Tujhe Maaloom Kahan Raat Ka Dukh.......,

Tu Meray Ghar Mein Kisi Roz Utar Shaam K Baad.....

Tanhaiyon Ko Humsafar Kehta Raha Hoon Main.


Tanhaiyon Ko Humsafar Kehta Raha Hoon Main. 

Khiyal-e-Yaar TujhKo Mautbar Kehta Raha Hoon Main, 

Karaya Shaam-e-Furaqat Ne Taruf Ek Naya Is Ka. 

Woh Ek Dariya K Jisko Chashm- e-Tar Kehta Raha Hoon Main, 

Wahaan Bhi Log Apni Kirchiyaan Cunte Nazar Aaye. 

Jahaan K Pathron Ko Be Zarar Kehta Raha Hoon Main, 

Nazar K Zawiye Tabdeel Kar Dete Hain Kuch Chehre. 

Woh Qatil Tha Jise Jaan-o-Jigar Kehta Raha Hoon Main, 

Sila Ab Aur Kiya Maango "Qateel" Apni Ebadat ka. 

Yehi Meri Jannat Jis Ko Ghar Kehta Raha Hoon Main.

Main Ab Tak Chal Raha Hoon………


Main Ab Tak Chal Raha Hoon………

Boht Din Se Muje Kuch An Kahe Alfaz Ne Bechain Rakha Hy,

Muje Sone Nahi Dete,
Muje Hansne Nahi Dete,
Muje Rone Nahi Dete,

Yun Lagta Hy K Jese Sans Seene Main Kahi Thehri Hui Si Hy,
Yun Lagta Hy K Jese Garmi Main……

Zra Si Der Ko Barish Baras K Ruk Gyi Ho….
Ghutan Charoo Taraf Pheli Hui Ho,

Boht Din Se Meri Ankhoon Main Sapnoo Ki Koi Doli Nahi Utri….
Boht Din Se Khyaloo Main Dabe Paoon Koi Apna Nahi Aya,
Boht Din Se Mere Jazbaat.

Jo Meri Shairi K Mosmoon Main Rang Bharte Hain……..
Kahin Khoye Hue Se Hain,

Mere Alfaz Bi Soye Hue Hain…..
Main Un Ko Dhoondne Is Zindagi K Dasht Main Nikla To Hoon Lekin…….

Muje Maloom Hy Jazbey Agr Ik Bar Kho Jayen,
To Phir Wapis Nahi Milte……

Muje Maloom Hy Phir Bi….
Abi Ik Aas Baki Hy…..

Main Ab Is Aas Ki Ungli Pakarr K Chal Raha Hoon,

Bazahir Shabnami Thandak Muje Ghere Hue Hy……..
Magar Main Jall Raha Hoon…..

Main Ab Tak Chal Raha Hoon………

"Main tere Warqon mein Bikhra hoon"


"Main tere Warqon mein Bikhra hoon" 

"Kabhi woh Porani Kitabein Kholo to Yaad karna" 

"Main Qatra Qatra Barsaat mein Barson ga" 

"Jo un Barshon mein Bheego to Yaad karna" 

"Main Saans Saans teri Yaadon mei Basa hon" 

"Jab Saans ko Ukharrta pao to Yaad karna" 


"Mai Lamha Lamha teri Yaad mein Jalta hon" 

"Kabhi Khud ko Khud se Khafa Paao to Yaad karna" 

"Main Raat Raat tujhey 
RAB se Mangta hoon" 

"Kabhi Tum B Haath uthao to Yaad Karna.

Bikhra Wajood, Tootay Khuwab,


Bikhra Wajood, Tootay
Khuwab, Sulagti
Tanhaiyaan,
.
.
. Kitnay Haseen
Tohfay De Jaati Hai
Ye Adhori Mohabbat…*

De Kar Boosa Meri Rukhsaar Par , Kehti Hai Wo.


De Kar Boosa Meri Rukhsaar Par , Kehti Hai Wo.

Such Bata , Dil Main Tere Aur Bhi Armaan Hain.

Sakoot-e-Shaam Main Goonji Sadaa Udaasi Ki,


Sakoot-e-Shaam Main Goonji Sadaa Udaasi Ki, 

K Hai Mazeed Udaasi 
Dawa Udaasi Ki, 

Amoor-e-Dil Mein Kisi Teesray Ka Dakhal Nahi, 

Yahan Faqat Teri Chalti Hai Ya Udaasi Ki, 

Bohat Shareer Tha Main Aur Hansta Phirta Tha, 

Phir Ek Faqeer Ne De Di 
Dua Udaasi Ki, 

Chiragh-e-Dil Ko Zara Ehtiyaat Se Rakhna, 

K Aaj Raat Chalay Gi 
Hawa Udaasi Ki. 

Bohat Dinon Se Mulaqaat Hi Nahi 
"SAHIL" 

Kahin Se Khair Khabar Le K Aa Udaasi Ki...

Main kisi lamha-e-Maqbool


Main kisi lamha-e-Maqbool
Main Maangoon Gi Tumhain.


Tum Bhi Uss Lamhay Masroof-e-Duaa
Ho Jana……….♥

Tumhain Kia Yaad Hai Jaana,


Tumhain Kia Yaad Hai Jaana,

Jo Waaday Tum Ne Baandhay Thay,
_
Jo Qasmain Tum Ne Khaayeen Theen,

Tumhain To Yaad Hi Ho Ga,

Tumharay Lafz Apnay Thay,

Chalo Phir Se Unhi Lafzon Ko,

Main Dohraaye Daita Hoon,

Zara Tum Ghaur To Karna,

Ke Main Sacha Ya Jhoota Tha,

Ye Hi Tum Ne Kaha Tha Na,

Kabi Na Rishta Torrain Gay,

Kabi Na Saath Chorrain Gay,

Jo Torra Kisi Ne Ghar Apna,

Usay Hum Mil Ke Jorrain Gay,

Jo Toota Galti Se Waada,

To Apna Munh Na Morrain Gay,

Kathin Rasta Ho Jitna Bi,

Kabi Na Haath Chorrain Gay,

Sun Ke Tumhari Sab Batain,

FaQat Maine Kaha Tha Ke,

Maseeha Chorro Rehnay Do,

Ye Sab Kehny Ki Batain Hain,

Jo Waday Kar Rahay Ho Tum,

Chand Lamhon Ki Sogaatain Hain,

To Tab Tum Ne Kaha Tha Na,

Ke Aisa Ho Nahi Sakta,

Tumhari Ye Galat Fehmi Hai,

Tu Tanha Ho Nahi Sakta,

Zara Palto Aaj Aur Daikho Tum,

Main Tanha Hi Kharra Hoon Na...

')