Wo Bzaahir Jo Zamane Se Khafa Lagta Hai.
Hans Ke Bole Bhi To Duniyan Se Juda Lagta Hai,
Aur Kuch Der Na Bujhne De Use Rabbe Saher.
Doobta Chaand Mera Daste Dua Lagta Hai.
Jis Se Mu Pher Ke Raste Ki Hawa Guzri Hai,
Kisi Ujhdhe Huwe Aangan Ka Diya Lagta Hai,
Ab Ke Baarish Me Bhi Zrdi Na Gayi Chahron Ki.
Aise Maosam Me To Jangal Bhi Haraa Lagta Hai.
Shaher Ki Bhidh Me Khulte Hai Kah-n-Tere Naqush,
Jaake Tanhayi Me Sochu Ke,"TU"Kya Lagta Hai.
Muh Chupaye Huwe Guzra Hai Jo Ahbaab Se Aaj!
Uski AnkhOn Me Koi Zakhm Naya Lagta Hai!
Ab Tu Mere Bhi Tasavvur Me Utar Rabb-e-Jalil.
Is Udhasi Me To,Patther Bhi KHUDA Lagta Hai!
No comments:
Post a Comment