Welcome to my blog!

Meet the Author

Blessed with the best _ Alhumdulillah!a million times for every blessing in my life.

Looking for something?

Subscribe to this blog!

Receive the latest posts by email. Just enter your email below if you want to subscribe!

Monday, November 17, 2014

Udas ruut, intizar mausam


Udas ruut, intizar mausam
Hawa ki yakh basta ahaton se parey
Khamoshi ki zard chaddar badan par orhe
Khazan raseedashajar ki tehni pe jhoolta chand keh rha hai
K so bhi jao!
K So bhi jao udas logo!
Wo anjuman jis ki jhilmilati tamam shamein
Tamam ratein
Tamam batein
Kabhi tumhari mohabaton se bhare zamano ki turjuman thee
Kabhi tumhare tamam lamhon pe meharban thee
Wo anjuman ab tumhari sochon se door
Khawabon ki dastakon se parey sajey gi
Wahan ye naubat nahi bajey gi
Kabhi tumhare badan ki khushboo se khelti thi Jo raat rani
Wo hijr k adh khuley dareechay mein hanptey hoe
Akhri sans le rhi hai
Udas logo!
Ujjar ankhon k aine tor do k in mein
Na koi aks nigar e hasti
Na koi basti he bsa sako ge
Bas ik matae e hayat baki hai ab jise tum
Gawa sako ge
To is se pehle k sans ki dorrii toot jaye
Hawa ki hatheli se
Khushbuon ka har aik rishta he toot jaye
Kiran kawaron ko band kur k
Ujjar khawabon ki rehguzar ka ghubar ankhon mein bhar k
Har su hawa k hathon bikhar bikhar k
Khud apne andar k dukh ki mitti mein kho bhi jao!
Hawa ye kehti hai so bhi jao
Udas ruut
Intizar mausam
Kabhi kisi k na ho sakein ge
Udas logo!

No comments:

Post a Comment

')