Aaj ka din hum naiN buss aik baar daikha hai
Aaj kay din unhaiN dil mein utartay daikha hai
Tumhain fakhar hai bagh-e-firdous kay deedar par
Hum naIN tu un koh muskaratay huay daikha hai
Abb bhalay bajae koee manzar-e-jehan ka dhandora
Hum naiN tu kainaat ko inn aankhoN mein daikha hai
KahaiN unn say kaisay keh kabhi na parha na suna
Saaz, ghazal, mehek ka chehra hota hai, aaj daikha hai
Aaj ka din hum naiN buss aik baar daikha hai
Aaj kay din unhaiN dil mein utartay daikha hai
Woh kiya jaanaiN unkay shikaar pay kya guzarti hai
Hum naiN tu kamaan say teer ko aatay daikha hai
Tum faqeer kay aansoo ko maantay ho hud-e-faryaad
Hum nain tu apnay dil ko girgirahtay huay daikha hai
Kon firoN kehta hai keh mein nahi tu kuch bhi nahi
Hum nain apnay wojood ko khamakhan ka daikha hai
Aaj ka din hum naiN buss aik baar daikha hai
Aaj kay din unhaiN dil mein utartay daikha hai
Qalb kay aik pas-o-pash pay sarkash paraishaan hota hai
Hum naIn tu kaee lamhay apni nafs ko thairhay daikha hai
Suna tha khoobsoorti kay daam seerat mein lagtay haiN
Hum naiN tu unmein inko aik hee mein bunaa daikha hai
Kia karaiN, Kisssay kahain maikada bhi hum par hansta hay
Hum naiN tu din daharhay kehkashaaN ko daikha hai
Aaj ka din hum naiN buss aik baar daikha hai
Aaj kay din unhaiN dil mein utartay daikha hai
Raat bhar jotushi parhta hai sitaroN kay fail-o-amal
Hum nain tu suraj ki kirnon mein chaand dekha hai
KhwaboN kay saraab mein tu khalqe khuda ghoomti hai
Hum nain tu aaj khwab kee tabeer-e-amal ko daikha hai
Baipanah duagoh hooroN kay talabgar rehtay haiN Sehbi
Hum naiN tu aaj un kee malka ko yaheen pai daikha hai
Aaj ka din hum naiN buss aik baar daikha hai
Aaj kay din unhaiN dil mein utartay daikha hai
No comments:
Post a Comment