Kahkashan Khan Blog This page is dedicated to all the art, poetry, literature, music, nature, solitude and book lovers. Do what makes your soul happy. Love and Peace. - D
Monday, January 13, 2014
Kabi Tum Apni Mohabbat Ka Aitbaar To Do.
Kabi Tum Apni Mohabbat Ka Aitbaar To Do.
Main Chahoon Toot K Tum Ko Ye Ikhtiyaar To Do.
Guzarti Hi Nahi Mujh Se Ye Zindagi Tanha.
Sahara Pyaar Ka Deker Isey Guzaar To Do.
Main Sochti Hoon Tumhare Bagair Kya Hoga.
Dil-o-Dimaag Per Ek Bhoj Hai Utaar To Do.
Mere Khayal Ki Raahon Ko Keh-Kishaan Kar Do.
K Roshni Se Meri Zindagi Sanwaar To Do.
Umeed-e-Wafa Ghum-e-Hijar Ka Muda'wa Hai.
Main Intizaar Karoon Magar Zabt-e-Intizaar To Do.
Muhabbat Cheez aesi hy.
Kabi hoti hy apnon sy.
Kabi hoti hy sapnon sy.
Kabi anjaan raahon sy.
Kabi gumnaam naamon sy.
Muhabbat cheez aesi hy.
Kabi hoti hy phoolon sy.
Kabi bachhpan k jhoolon sy.
Kabi bay-ikhtiari mein.
Kabi pakkay usoolon sy.
Muhabbat tu muhabbat hy.
Muhabbat ik sadaqat hy.
Muhabbat ik ibadat hy.
Muhabbat cheez aesi hy.
dukhon mein rol deti hy,.
dard anmol deti hy,
Zehar b ghol deti hy.
Muhabbat cheez aesi hy.
Hasti ka aitbaar kiye bagair reha na jaye,
Hasti ka aitbaar kiye bagair reha na jaye,
Dunya hai yahan per jiye bin raha na jaye,
Kat'ti nahin yeh zindagi umeed k bagher,
Yeh jaam woh hai jis ko piye bin raha na jaye,
Chahat ka zakhm dil ko tamasha na bana de,
Aesa hai chaak jis ko siye bin rahaa na jaye,
Dunya k is afshaar me hai us ki yaad yoon,
Aandhi ho tez aur diye bin raha na jaye,
Ik simt tera hukam hai, ik simt kayenaat,
Yeh bojh apne sir pe liye bin raha na jaye…
Friday, January 10, 2014
Subscribe to:
Posts (Atom)