Welcome to my blog!

Meet the Author

Blessed with the best _ Alhumdulillah!a million times for every blessing in my life.

Looking for something?

Subscribe to this blog!

Receive the latest posts by email. Just enter your email below if you want to subscribe!

Saturday, June 14, 2014

'Agrcha Tujh Se Bohat Ekhtilaaf Bhi Na Houa,


'Agrcha Tujh Se Bohat Ekhtilaaf Bhi Na Houa, 
Mgr Yeh Dil Teri Janib Se Saaf Bhi Na Houa 


Taluqaat Ke Barzakh Mein He Rakha Mujh Ko, 
Wo Mery Haq Mein Na Tha Aur Khalaaf Bhi Na Houa 


Ajab Tha Jurm-E-Mohbt K Jis Pe Dil Ny Mery, 
Saza Bhi Paie Nhi Aur Mauf Bhi Na Houa 


Ma'lamaton Mein Kahan Sans Ly Skian Gay Wo Loag, 
K Jin Se Ku-E-Jafa Ka Ta'waaf Bhi Na Houa 


Hawa-E-Daher! Hume Kis Liye Bhujati Hai, 
Hume Tou Tujh Se Kabi Ekhtilaaf Bhi Na Houa...!' 

'Meri Tishnagi ka khayal kr .


'Meri Tishnagi ka khayal kr . 
Main udas hon Mjhe dekh ja! 

Meri Be-Basi ka Malal kr, 
Main Udas hon Mujhe dekh ja! 

Main Tere khayal k Dasht mein 
Sabhi Raston se Guzar gya 

Tu Mere Ghum ka khyal kr 
Main udas hon Muhje dekh ja 

Ye Tere Sitam 
ye Tere karam 
Mujhe aur 
zouq-e-janon de 

Mera Chalna yoon na Muhal kr 
Main Udas hoon mujhe dekh ja 

Mera Zard Chehra hai kis liye, 
ye Makan ujra hai  kis liye 

Na Tu mujh se Aisa sawal kr 
Main Udas hon mujy dekh ja..' 

'Gham-e-Dunya K Smundar Mein Kinara Dhondun,


'Gham-e-Dunya K Smundar Mein Kinara Dhondun, 

Aandhi Kis Simt Chalay Gi Yeh Ishara Dhondun, 

Kurb Tanhai Ka Rag Rag Mein Utar Aya Hai, 

Ik Faqat Teri Mohabat Ka Sahara Dhondun, 

Jab Teri Yad Mein Ankhon Say Rawan Hon Aansu, 

Khushk Karny Ko Main Daaman B Tumhara Dhondun, 

Wasl B Aag Hai Or Hijar Bi Jalta Darya, 

Thandy Chashmon Ka Sanam Kesy Nazara Dhondun, 

Jab Kisi Gham Mein Koi Tut K Roye, 

Main Tumhen Yad Karon Dar Bi Tumhara Dhondun...' 
          

Door Mujh Se Reh Kar Ji Paye Ga Kab Tak....,


Door Mujh Se Reh Kar Ji Paye Ga Kab Tak...., 

Be-Chain Kar K Chain Paye Ga Kab Tak...., 

Seekh Lia Hai Tanhaiyon Mein Rehna...., 

Tanha Kar K Mehfel Banaye Ga Kab Tak...., 

Tha Bewafa Magar Deta Tha Wafa Ka Daras...., 

Dil Se Meri Yaad Mitaye Ga Kab Tak...., 

Chaha Hai Kisi Ko Na Chahein Gay Tere Bin...., 

Ye Aadat Hai Apni Tu Door Jaye Ga Kab Tak...., 

Tarap Raha Hai Teri Yaadon Mein.

Aatish-E-Ishq Mein Hum Ko Jalaye Ga Kab Tak,' 
          

Mere Jazbon Ki Sadaqat Pe Na Koi Harf Aye


Rang Nikhre Tu Sabhi Gul Bi Thay Kush Posh
Rahe
Mehki Fazaon Mai Yun Hawaon Ke Ham Dosh
Rahe

Lamhe Thy Qaid Tere Lehje Ki Khanak Ko Sun
Kar
Ham Bi Thy Mast Aur Sarapa Hama Tan Gosh
Rhe

Kuch Halat Bi Mawafaq Thy K Jazbe Thy Jawan
Ham Bi Azhar Ke In Lamhon Mai Thy Pur Josh
Rahe

Alfaz Ruk Jayen Jo Agar Aankhon Ko Sukhun
War Dekhin
Soch Par Pehre Lage Aur Ham Bi Thay Khamosh
Rahe

Mere Jazbon Ki Sadaqat Pe Na Koi Harf Aye
Dil Ke Jor Raaz The Wo Seene Mai Hi Roposh
RaHe

Friday, June 13, 2014

Yeh Jo Zindagi Hai Na





Yeh Jo Zindagi Hai Na 

Iski Misaal Samander Ki Tarah Hai .....Hum Insaano Ko Khud Ko Zinda Rakhne K liyea .... Khud Ko Doobne Se Bachane K Liyea Hath Pair Hialana Hi Partay Hain ..... 

Jo Thak Gya Woh Doob Gya ___!




Tu Kahan Tha...


Jab Gam Meri Dhadkan Meri Baaton Se Bayan Tha, 
Tu Kahan Tha...


Jab Chaaron Taraf Dard Ke Dariya Ka Samaan Tha, 
Tu Kahan Tha...


Ab Aaya Hai Jab Dhal Gaye Hai Sabhi Mausam Mere Humdam, 
Jab Tere Liye Mera Ehsaas Jawaan Tha, 
Tu Kahan Tha...


Ab Aaya Hai Jab Kaam Dikha Gaya Saawan Mere Saajan,
Jab Chaar Soo Mere Liye Khushiyon Ka Samaan Tha,
Tu Kahan Tha...

Thursday, June 12, 2014

aa ki merii jaan me.n qaraar nahii.n hai


aa ki merii jaan me.n qaraar nahii.n hai
taaqat-e-bedaad-e-intazaar nahii.n hai



dete hai.n jannat hayaat-e-dahar ke badale
nashshaa baa_andaazaa-e-Khumaar nahii.n hai




giriyaa nikaale hai terii bazm se mujh ko
haaye! ki rone pe iKhtiyaar nahii.n hai



ham se abas hai gumaan-e-ranjish-e-Khaatir
Khaak me.n ushshaq kii Gubaar nahii.n hai



dil se uThaa lutf-e-jalvaa haaye ma_anii
Gair-e-gul aa_iinaa-e-bahaar nahii.n hai



qatl kaa mere kiyaa hai ahad to baare
vaaye! agar ahad ustavaar nahii.n hai


tuu ne qasam mai_kashii kii khaa_ii hai 'Ghalib'
terii qasam ka kuchh aitabaar nahii.n hai

Chaand meri khirki se dastak deta hai !


Raat abhi tanhai ki pehli dehleez pe hai
aur meri janib
Apne haath barhati hai..
Soch rahi hon
inko thaamun
Zena zena sannaton ke teh khaanon mein utroon
Ya apne kamre mein hi thehrun
Chaand meri khirki se dastak deta hai !

'Kisi B Mor Ya Aglay Paraao Par..


'Kisi B Mor Ya Aglay Paraao Par.. 
Juda Hi Hum ko Hona Hai To Aao Phir.. 
Yaheen Apnay Asaason Ko Alag kar lein.. 

Ye Jitnay Zakhm Dil Par Hain.. 

Idhar Meri Taraf kar Do.. 

K Tum Aksar Ye 
kehtay Thay.. 

Ye Sab Meri Badolat Hain.. 

Magr Thehro... 


Zara Thehro... 

Yahan kuch khuwaab B Hongay.. 

Jo Mil K Hum Nay Dekhay Thhay.. 
Suhaana khuwab Tum Rakh Lo.. 

Udhoray Sab Mujhe Day Do.. 
K Meri Yun B Aadat Ha.. 
Mujhe Tooti Hui Cheezon Sa.. 

Ik Be'naam Ulfat Hai..!!' 

')