Kahkashan Khan Blog This page is dedicated to all the art, poetry, literature, music, nature, solitude and book lovers. Do what makes your soul happy. Love and Peace. - D
Wednesday, August 13, 2014
Tuesday, August 12, 2014
HAPPY INDEPENDENCE DAY.
Khuda Karay Ke Meri Arz-e-Pak Per Utray
Wo Fasl-e-Gul Jisay Andesha-e-Zawaal Na Ho
Yahan Jo Phool Khily, Khila Rahay Sadi’on
Yahan Khizaan Ko Guzarnay Ki Bi Majaal Na Ho.
Today we are miles apart
but I wanna reach across the miles
and say i’m thinking of you
in a very special way
HAPPY INDEPENDENCE DAY.
Junoon se aur Ishq se milti hai Azaadi
Junoon se aur Ishq se milti hai Azaadi
Qurbani ki banhon mai milti hai Azaadi
Tanzeem Ittehad Imaan
Quaid ka Farman
Tanzeem , Itehad, Eemaan,
Khaak-e-Pak Meharabaan,
Jaisay Rooh, Jism o Jaan.
Janta Hia Sara Jahan.
Qurbani Ki Bahoon Mein..milta Hai Azadi.
Junoon Sey Aur Ishq Sey Milti Hia Azadi.
Tauheed, Ijtehad, Nezaam...
Momin Ki Pehchaan,
Tauheed, Ijtehad, Meezan...
Jab Sab Imtehaan,
Zahir o Ghaib Ka Neeeshaan...
Sar Zamaan-e-Pakistan...
Junoon Say, Aur Ishq Sey.
Miti Hai..azadi.
Kurbaani Ki Bahoon Mein,
Milti Hai Azadi,
Monday, August 11, 2014
Ae ALLAH..! Mujhy to sirf teri Khushi Chahiye,
Ae ALLAH..!
Mujhy to sirf teri Khushi Chahiye,
Dard Kaisa B Ho Bandagi Chahiye,
Duniya Ki Koi Khwahish Nahi,
Aakhrat Ki Bs Zindagi Chahiye,
Sirf Tere He Aage Haath Phelaon Aesi Mujhe
Bebasi Chahiye,
Tu Ho Jaye Raazi Sanwar Jaun Main,
Mere Malik Teri raza ki Aagahi Chahiye,
Main Jhukun aur Bus Jhuka He Rahun,
IBbadat Me Bus aisi Aajizi Chahiye,
Main Bhatak Jaun agr Tu Sahara Mujhy de Aesi
Mujhe Teri Rehbari Chahiye.
Apne Habeeb Huzoor SALLALLAHU ALAHI
WASALLAM ke Sadqe Se Hamare Duaie Qabool
Ata Farma AMEEN.
Friday, August 8, 2014
Mujhe Acha Sa Lagta Hai
Mujhe Acha Sa Lagta Hai
Tumhi Ko Dekhte Rehna
Tumhi Ko Chahate Rehna
Tumhi Ko Sochte Rehna
Tumhi Ko Sunte Rehna
Bohat Gherey Khayalon Main
Jawabon Main Sawalon Main
Muhabbat K Hawalon Main
Tumhara Nam Aajana
Mujhe Acha Sa Lagta Hai
Tumhare Sang Sang Chalna
Wafa Ki Aag Main Jalna
Tumhain Naraz Kar Dena
Kabhi Khud Bhi Rooth Jana
Tumhari Berukhi Pe Bhi
Tumhari Aarozo Karna
Khud Apne Dil Ki Dharkan Se
Tumhari Guftugu Karna
Mujhe Acha Sa Lagta Hai
SunO acha nahi lagta!
SunO acha nahi lagta!
Kare jb tazkara kOi
kare jb tabsara koi
Tumhari zaat kO khOjy
Tumhari bt kO sOchy
Mujhe acha nahi lagta
SunO acha nahi lagta!
Tumhari muskurahat par
HazarO lOg marty hOn
tumhari aik ahat par
HazarO DIL darakty hOn
Kesi ka tum py mar jana
Mujhe acha nahi lagta
SunO acha nahi lagta
Kisi or sy koi vasta, na sawal tha na malal tha
Kisi or sy koi vasta, na sawal tha na malal tha
Mujhy ab bi us ka khyal hai mujhy kal bi us ka khyal tha
Wohi jis k chehray ki roshni mera rung thi mera roop thi
Wohi shakhs tha meri aarzo wohi mera husn o jamal tha
Jo zuban e khalq py aam theen tumhari meri kahanian
Mujhy aaj tk na khaber hui wo urooj tha k zawal tha
Wohi jis ki aas tlash me meri umr sari guzar gai
Wohi pyar tha meri zindgi wohi meri jan ka azab tha.
Rah-E-Yaar Hamne Qadam Qadam, Tujhe Yaadgaar Bana Diya
Na Ganvaao Naavak-E-Neemkash, Dil-E-Reza Reza Ganva Diya
;
Jo Bache Hain Sang Samet Lo, Tan-E-Daag Daag Luta Diya
;
Mere Chaaragar Ko Naved Ho, Saf-E-Dushmanaa Ko Khabar Karo
;
Wo Jo Qarz Rakhte The Jaan Par, Wo Hisaab Aaj Chuka Diya
;
Karo Kaj Jabin Pe Sar-E-Kafan, Mere Qaatilon Ko Gumaan Na Ho
;
Ki Guroor-E-Ishq Kaa Baankpan, Pas-E-Marg Hamne Bhula Diya
;
Udhar Ek Harf Ki Kushtani, Yahaan Laakh Uzr Tha Guftani
;
Jo Kaha To Sun Ke Uda Diya, Jo Likha To Pad Ke Mita Diya
;
Jo Ruke To Koh-E-Garaan The Ham, Jo Chale To Jaan Se Guzar Gaye
;
Rah-E-Yaar Hamne Qadam Qadam, Tujhe Yaadgaar Bana Diya
Subscribe to:
Posts (Atom)