Na Ganvaao Naavak-E-Neemkash, Dil-E-Reza Reza Ganva Diya
;
Jo Bache Hain Sang Samet Lo, Tan-E-Daag Daag Luta Diya
;
Mere Chaaragar Ko Naved Ho, Saf-E-Dushmanaa Ko Khabar Karo
;
Wo Jo Qarz Rakhte The Jaan Par, Wo Hisaab Aaj Chuka Diya
;
Karo Kaj Jabin Pe Sar-E-Kafan, Mere Qaatilon Ko Gumaan Na Ho
;
Ki Guroor-E-Ishq Kaa Baankpan, Pas-E-Marg Hamne Bhula Diya
;
Udhar Ek Harf Ki Kushtani, Yahaan Laakh Uzr Tha Guftani
;
Jo Kaha To Sun Ke Uda Diya, Jo Likha To Pad Ke Mita Diya
;
Jo Ruke To Koh-E-Garaan The Ham, Jo Chale To Jaan Se Guzar Gaye
;
Rah-E-Yaar Hamne Qadam Qadam, Tujhe Yaadgaar Bana Diya
Hi colleagues, its great piece of writing regarding educationand entirely defined, keep it up all the time.
ReplyDeletemy page ... paid surveys (paidsurveysb.tripod.com)