MeiN Rang MeiN Dekhti Thi Khushboo MeiN Soochti Thi!!!
Mujhay GUmaaN Tha
Ke Zindagi Ujjli KhwahishooN Ke Chiraagh Le Ker
Mere DAreechooN MeiN Roshni Ki Naveed Bun Ker Uttar Rahi Hei
MeiN Kuhr MeiN Chandni Pehn Ker
Banafshi Badal Ka Haath Thaamay
Fizza MeiN Perwaaz Ker Rahi Thi
SamahatooN MeiN Suhaab LehjooN Ki BaarisheiN TheiN
BasaartooN MeiN Gulaab ChehrooN Ki Roshni Thi
Huwa Ki Resham RafaquteiN TheiN
Saba Ki Shabnum AnayuteiN TheiN
Hayaat KhwaabooN ka Silsala Thi!!!!!!
Khulein Ju AankheiN Tau Saaray Manzir Dhanak Ke Uss Paar Reh Gay Thay
Na Rang Mere Na Khwaab Mere
Huway Tau Bus Kuch Azaab Mere
Na Chand RaateiN Na PHool BaateiN
Na Neel Subhein Na Jheel ShaameiN
Na Koi Aahut Na Koi Dastuk
Haroof Mafhoom Kho Chukkay Thay
AllamateiN Banjh Ho Gai TheiN
Gullabi KhwaabooN Ke Paerehn Raakh Ho Chukay Thay
HaqeeqatooN ke BarhaNgi
Apni Saari SafakiyooN ke Saath
Jism-o JaaN MeiN Uttar Rahi Thi
Wo MehrbaaN Saaya Daar Badal
Azaab Ki Ruut MeiN Choor Ke Mujh KO Ja Chukka Tha
ZameeN Ki Taiz Dhoop AankhooN Mein chub Rahi Thi!!!!!!
No comments:
Post a Comment