Hichkiyon Ne Kisi Diwaar Mein Dar Rakha Tha
Meray Aaba’a Ne Jab Is Khaak Pe Sar Rakha Tha
Ghar Se Nikley Thay Tou Ik Dasht-E-Fana Ki Soorat
Raah Mein Sirf Safar, Sirf Safar Rakha Tha
Dil Thay Matrooka’h Makanaat Ki Soorat Khaali
Aur Asbaab Mein Bichhrra Hua Ghar Rakha Tha
Jism Ajdaad Ki Qabron Se Nikaltey He Na Thay
Nasal Dar Nasal Is Khaak Mein Sar Rakha Tha
Rooh Par Naqsh Thay Woh Naqsh Abhi Tak Jin Mein
Rung Bachpan Ki Kisi Yaad Ne Bhar Rakha Tha
Dil Mein Sar Sabz Thay Us Pairr K Pattay Jis Par
Dast-E-Qudrat Ne Abhi Pehla Samar Rakha Tha
Kat’tey Daikhey Thay Woh Bargad Bhi, Jinho’n Ne Khud Ko
Muddato’n Dhoop Ki Basti Mein Shajar Rakha Tha
Jaltey Daikhey Thay Woh Khud Soz Mohalley Jin Mein
Janey Kab Se Koi Khuwabeeda’h Sharar Rakha Tha
Chorriyaan Toot K Bikhri Thi Har Ik Aangan Mein
Ik Ku’nwaan Tha Jo Tamannao’n Se Bhar Rakha Tha
Raah Thi Surkh Gulabo’n K Lahoo Se Roshan
Paaon Rakha Nahi Jata Tha Magar Rakha Tha
Qaafley Aik He Sarhad Ki Taraf Jatey Thay
Khuwab K Paar Koi Khuwab-E-Dagar Rakha Tha
Teergi Cheer
K Aaey Huey Rasto’n K Liye
Aik Mehtaab Sar-E-Raah Guzar Rakha Tha
Ik Haseen Chaand Tha Ik Sabz Zameen Par Roshan
Ik Sitarey Ko Bhi Aagosh Mein Bhar Rakha Tha
Harf-E-Izhaar Mein Hayal Thi Faseelein Lekin
Rakhne Waley Ne Khamoshi Mein Asar Rakha Tha
Lab Tak Aatey He Na Thay Harf Manajato’n K
Hichkiyo’n Ne Kisi Diwaar Mein Dar Rakha Tha
Chashm-E-Beena Mein Woh Manzar Abhi Taza Hai Saood
Meray Aaba’a Ne Jab Is Khaak Pe Sar Rakha Tha……….
No comments:
Post a Comment