Tairgi K Jangal Mein Kam Nahi Hai Ek Jugno,
Tum Bas Apne Hisse Ka Ek Dia Jala Dena,
Phool Khilte Hain Khil Kar Bikhar Jate Hain,
Yadain Reh Jati Hain Insan Bicharr Jate Hain,
Meri Mazar Par Aa Kar Die Jalaye Gi,
Wo
Mere Baad Meri Zindagi Mein Aaye Gi,
Phir Raha Hon Shaok K Daria Mein Beqarar,
Khud Hi Ai Manzalon Ab Dhoondh Lo Mujhe,
Badla Wafa Ka Dain Gay Bari Sadgi Se Hum,
Tum Hum Se Rooth Jao Gay Aur Zindagi Se Hum,
Manzal Ki Tamanna Hai To Dar Kar Hai,
Jurat Raste Se Hata Dijye Jo Sang-E-Giran Ho,
Kon Kehta Hai Maut Aai To Mar Jon Ga,
Main To Daria Hon Samandar Mein Utar Jaon Ga,
Jahan Rahe Ga Wahein Roshni Lutaye Ga,
Charagh Ka Apna Koi Makan Nahi Hota,
Dil Hi To Hai Sang-O -Khush Se Na Bhar Aaye Kion,
Roin Gay Hum Hazar Bar Koi Hamain Sataye Kion,
Yahan Kisi Ko Bhi Hasb-E-Aarzo Na Mila,
Kisi Ko
Hum Na Mile Aur Koi Hum Ko Na Mila,
Subha Sadiq Mein Bahut Deir Nahi Lekin,
Apni Ujlat Mein Charaghon Ko Bujha Mat Dena,
Dunia Se Na Ye Rasm Nibhi Chand Baras Bhi,
Hum Samjhe Thay Humain Yad Kia Jata Rahe Ga,
Zindagi Meri Loghat Mein Chand Se,
Chehron Ki Chup Chandni Yaron Ki Khush,
Paishanion Ka Naam Hai
Ragon Mein Khoon Ki,
Garmi Ka Mojza Hai Tamam,
Wagarna Aadmi Pathar Se Mukhtalif To Na Tha,
Wo Sar Se Pehle Zaban Kaat Lia Karte Hain,
K Khuda Se Na Kare Koi Shikayat Un Ki,
Sanson K Silsile Ko Na Do Zindagi Ka Naam,
Jeene K Bawajood Bhi Kuch Log Mar Gaye,
Bant Na Dalon Khud Ko Main Daman Daman,
Kar Dia Too Ne Agar Mera Hawala Mujh Ko,
Main Apni Pias K Qadmo Se Napon Gi Kahan Tak Hai,
Ye Sehrha Dushmani Ka Dasht La Mehdood Nafrat Ka,
Dhowan Bana K Hawa Main Ura Dia Mujh Ko,
MAin Jal Raha Tha Kisi Ne Bujha Dia Mujh Ko,
Jaisi Bhi Hon Bhali Hon K Buri Hon Apne Liye Hon,
Mein Khud Ko Nahi Dekhti Auron Ki Nazar Se,
Kitni Bojhal Hai Fiza Yaron Ko Andaza Nahi Hai,
Khirkian Ab Band Kar Do K Hawa Taza Nahi Hai,
Aaghaz To Hota Hai Anjam Nahi Hota,
Jab Meri Kahani Mein Wo Nam Nahi Hota,
Kehne Ko Zindagi Thi Bahut Mukhtasar Magar,
Kuch Youn Basar Hoi K Khuda Yad Aa Gia,
Sanson Mein Bhi Shamil Ho Laho Mein Bhi Rawan Ho,
Lekin Mere Hathon Ki Lakeeron Mein Kahaan Ho,
Rasm-E-Ulfat Hi Ijazat Nahi Deti Warna,
Hum Bhi Aisa Bhoolain K Sada Yad Karo,
Wo Shakhs Meri Lash Pe Aaya, Na Ro Saka,
Us Ko
Mere Sakoon Ka Kitna Khayal Tha,
Ya Khuda Log Banaye Thay Agar Pathar K,
Mere Ehsaas Ko Sheesha Na Banaya Hota,
Wo Ashk Ban K Meri Chashm-E-Tar Mein Rehta Hai,
Ajeeb Shakhs Hai Pani K Ghar Mein Rehta Hai,
Acha Khasa Baithe Baithe Gum Ho Jata Hon,
Ab
Main Aksar Main Nahi Rehta Tham Jata Hon,
Ehsas Ka Andaz Badal Jata Hai Warna,
Anchal Bhi Usi Taar Se Banta Hai Kafan Bhi,
Seene Se Mere Zehr Utarne Nahi Dete,
Zinda Rahain Wo Log Jo Marne Nahi Dete,
Tum Nahit-O-Zindagi Mein Aur Kia Reh Jaye Ga,
Door Tak Tanhaion Ka Silsila Reh Jaye Ga,
Qasam Khuda Ki Mohabbat Nahi Aqeedat Hai,
Diyar-E-Dil Mein Bara Ehteram Hai Tera,
Qais Jangal Mein Akela Hai Mujhe Jane Do,
Khoob Guzare Gi Jab Mil Baithain Gay Dewaane Do,
Dunia Ko Dekhta Rahi Jis Nazar Se Main,
Us Aankh Mein Mere Liye Pehchan Bhi Na Thi,
Jin Doston Se Hum Ko Tawaqo Wafa Ki Thi,
Wo
Dost Dil Se Naqsh-E-Wafa Tak Mita Gaye,
Ya Rab Zamana Mujh Ko Mitata Hai Kis Liye,
Laho-E-Jahan Pe Harf-E-Muqarar Nahi Hon Main,
Batt Jain Gi Kirchian Bhi Tere Wajood Ki,
Mujh Ko Na Tor Dekh Tera Aaina Hun Main,
Gira K Aankh Se Mujh Ko Zamana Bhool Gia,
Ek Ashk Tha Main Zamane Ki Chashm-E-Tar K Liye.............!
No comments:
Post a Comment