Aaj ghar jo aaye ho ae dost
Chup chup se yoon kyun bethe ho?
Kuch poochna chahte ho jaise
Aankhon mein kyun hai uljhan si
Kuch poochna chahti hon jaise
Kya khojte ho tum yun har su
Aaj aayo dikhaayum mein khud tum ko
Kya mein ne juma kar rakha hai
Ye dil ke mere tukre hain
Wo kirchi kirchi khwaab mre
Kuch umeedein tooti tooti see
Aur ashkon ki eik mala hai
Wo ashaaon ke hain deep bujhe
Aur yaadon ke bikhre moti hain
Kyun aankh hui purnum teri
Chehra kyun hua ghum se bojhal?
Ye mera qeemti sarmaaya
Jeewan ki kumaai ye meri
Tum ko pasand kya aayi nahin?
Hairat se mujhe kyun takte ho!
Kya khaaya hai dhoka tum ne?
Tum dhoondhne aaye thei khushyaan
Kuch khushkun baatein khushkun lamhe?
Kyun dosh tumhein mein doon ae dost
Dhoka tou mera chehra hai
Rehti hai jis pe jhooti hansi
Dard dil mein chupa ke rakhti hoon
Aaj aayo bataaun mein tum ko
Ye roop kyun mein ne dhaara hai
Hai tabyat meri khuddaar bohat
Hamdardi bheek si lagti hai!
Jab jab ye dunya dukh deti hai
Jab jab mein is pe hansti hoon
Mein bant ti phirti hoon khushyaan
Ghum dil mein chupa ke rakhti hoon
Par dard jab hadd se barh jaata hai
Tou chupke se ro leti hoon!
No comments:
Post a Comment