Raabte bhi rakhta hoon – raste bhi rakhta hoon
Logon se bhi milta hoon – fasley bhi rakhta hoon
Gham nahin hoon karta ab chorh janey walon ka
Tor kar taluq main dar khule bhi rakhta hoon
Mousamon ki bandish se ab hoon nikal aya
Yaad par khizaaon ke hadse bhi rakhta hoon
Khud ko hai agr badla waqt k mutabiq to
Waqt ko badalne k hosle bhi rakhta hoon
Bhar k bool jatey hain ghaaao fikar hai mujhko
Zakham kuch purane to unsile bhi rakhta hoon
Go kisi bhi manzil ki ab nahin talab mujhko
Har ghari main pairon main aable bhi rakhta hoon
Manta hoon main bat yar logon ki
Soch ke magar apne zavie bhi rakhta hoon
No comments:
Post a Comment