Kisi ko alvida kena bohat taklif dayta hai
Umideyn toot jati hain
yaqeen pay beyaqeeni ka geher kuch aisa charta hai
Dikhai kuch nahin dayta
bujhai kuch nahin dayta.
Dua k lazf honton par musalsal kapkapatay hain
kisi khuawhish k andaishay zhain main dour jatay hain.
Gumaa kuch aisa hota hai k jaisay mil na payen gay
Ye geharay zakham furqat k kisi sa sil na payen gay.
kabhi aisa bhi ho Ya RUB duayen maan lay sari
tu ki moajzaa karday tu aisa kar bhi sakta hai.
mere honton ki janib daikh
inhai tu bhar bhi sakta hai.
judai ki aziat say mera dill ab bhi darta hai
judai do ghari ki ho
to koi dill ko behlaay
judai char pal ki ho to koi dill ko samjhaye
judai omer bhar ki hoto kia chara karay koi..?
k aik milnay ki hasrat main bhala kab tak jiye koi..?
mere moula karam kar day
tu aisa kar bhi sakta hai
mere honton ki janib daikh
inhai yu bhar bhi sakta hai...
____With Kahkashan khan

No comments:
Post a Comment