Ab na hai wo pehle si baatein,
Kiun tere mere darmiyaan khamoshi ghar kar gyi,
Na jane kaha gumm ho gyi wo hansi pyariyaa,
Kiun reh bas dil mein ek tess nayi.
Ye tess jo mujhse kehti hai,
Jo dard sa seene mein deti hai,
Ek dourr tha kahin kisi zamane mein,
Ab jiski yaadein bas reh gyi hai afsane mein.
Wo afsana tha jo kabhi hakiqat,
Jiss hakiqat mein rehte the hum tum kahin gumm,
Nahi hai baki ab koi bhi nisha uske,
Ab jiski parakh kho gyi bas aahon mein.
Iss aj mein ab hu mein yahan tanha khada,
Ku wo haseen dourr khatm ho gaya,
Han ab bhi hai mujhe intezaar uss pal ka,
Jab tu chalega phirse saath mere.
No comments:
Post a Comment