Kahkashan Khan Blog This page is dedicated to all the art, poetry, literature, music, nature, solitude and book lovers. Do what makes your soul happy. Love and Peace. - D
Friday, January 31, 2014
So here’s my advice:
So here’s my advice: Study broadly and without fear. Learn a language if you can, because that will make your life more interesting. Read a little bit every day. But more importantly, surround yourself with people who you like and make cool stuff with them. In the end, what you do isn’t going to be nearly as interesting or important as who you do it with.
ne of the most amazing things that can happen
ne of the most amazing things that can happen is finding someone who sees everything you are and won’t let you be anything less. They see the potential of you. They see endless possibilities. And through their eyes, you start to see yourself the same way. As someone who matters. As someone who can make a difference in this world.
Susane Colasanti, So Much Closer
Thursday, January 30, 2014
Bohat Arsa Hua 1 Din
Bohat Arsa Hua 1 Din
Bataya Tha Mujhay Usne
Bnana Kuch Nahin Aata
Agr Main kUch Banati
Hun
To Bus Chae Banati Hoon
Peo Gay Na ???
Or Main Is Baat Par Muskurata Hi Raha Tha
K Banana kUch Nahin
Aata
Banati Hoon To bus Chae
Mujahay Chae Se Uljhan Hai
Nahin Peeta
Nahin Peeta
Aur Ab Is Baat Ko Guzre
Zamane Ho Gaye Kitney
Nahin Maloom Mujhko Woh Kasi Hai
Kahan Par Hai
Mager Ab Chae Peeta Hoon
Bari Kasrat Se Peeta Hoon
Bari Hasrat Se Peeta Hoon...!
Monday, January 27, 2014
Baat Chali Tere Baaton Say Aur Ja Pohanchi Paimaanay Tak,
Baat Chali Tere Baaton Say Aur Ja Pohanchi Paimaanay Tak,
Kheinch Rahi Hai Tere Ulfat Aaj Mujhe Maikhaanay Tak.
Ishq Ki Baaten Ghum Ki Baaten Duniya Waalay Kartay Hain,
Kis Nay Shamaa Ka Dukh Dykha Aur Kon Gaya Parwaanay Tak.
Ishq Nahen Hai Tum-Ko Mujh Say Sirf Bahanay Kartay Ho,
Yun-Hi Bahanay Qayem Rakhna Tum Meray Marr Jaanay Tak.
Itna Hi Kehna Hai Tum Say Mumkin Ho To Aa-Jaana..!
Aa Hi Gaye Ho To Rukna Ho-Ga Aankhon Kay Pathraanay Tak...!~
Naya dard ek aur dil mein jaga kar chala gaya,
Naya dard ek aur dil mein jaga kar chala gaya,
Kal phir woh mere shehar mein aakar chala gaya ... !
Jise dhoondta raha main logon ki bheed mein,
Mujh se woh apna aap chhupa kar chala gaya ... !!
Main uski khamoshi ka sabab poochti rahi,
Woh kisse idhar udhar ke suna kar chala gaya ... !!!
Yeh sochti hoon kaise bhulaungi ab usse,
Ek shaks woh jo mujh ko bhula kar chala gaya.
"Hamen Daryaft Krne Se
"Hamen Daryaft Krne Se
Hamen Taskheer Krne Tak,
;
Bohat Hen
Mrhalay Baqi, Hamen Zanjeer Krne Tak,
;
Hamare Hijjr K Qissay Sameto Ge To Likho Ge,
;
Hazaron Baar Socho Ge Hamen Tehreer Krne Tak,
;
Hamara Dil He Pemana,
So Pemana To Chalkey Ga,
;
Chalo Do Ghoont Tum Bhar Lo, Hamen Taseer Krne Tak,
;
Puranay Rang Chhorro Aankh K, Ik Rang Hi Kaafi He,
;
Mohabbat Se Chashm Bhar Lo, Hamen Tasweer Krne Tak,
;
Hunar Takmeel Se Pehley, Musawwir Bhi Chupata He,
;
Zara Tum Bhi
Chupa Rakho, Hamen Tameer Krne Tak,
;
Wo Ham Ko Roz Loot'tay Hen, Adaa'on Se, Bahano'n Se,
;
Khuda Rakhey! Lutteray Ko, Hamen Faqeer Krne Tak"
Suno Tum door mat jana.
Suno Tum door mat jana.
Agar qismat b le jaye Magar tm bhool mat jana.
K yeh janmo ka rishta hai.
Mohabat zakhm khurda hai.
Hamen to sath rehna hai.
Tumhary pas rehna hai.
Akela choor mat jana. Suno tum door mat jana.
Alag jeena nahi sekha. Zehr pena nahi sekha. Agar tum laut jao gy. Judai maar daly gi.
Yeh dori toot jaye gi Is dil ko toor mat jana Suno tm door mat jana Muje tum bhool mat jana..!
Friday, January 24, 2014
Jab Tumhai Mujhse Nafrat Ho Jaye
Suno.....!
Tumhari wafa pay mujh ko....
Youn to pura yaqeen hai....
Par.... Zamane k waar kuch bharosa nahin hai
Sogar kabhi aisa ho jaye... Aur tumhai mujhse nafrat ho jaye...
To in rahon se nafrat na karna ....Jin par hum kabhi aik sath chale thay..
K kisi k qadmon ki besabati se....Bhala in bal khati rahon ka kiya wasta..?
In nazaron se nafrat mat karna...... Jo humne kabhi ik sath daikhe thay.
K kisi k wajood ki badhiyat weerani se....Bhala in khoobsurat nazaron ko kiya lahqa.?
In baton se nafrat mat karna .... Jo kabhi humne tanhaaii main ki theen
K kisi ki betawazun shaksiyat ki karwahat se ... Bhala un meethi baton ka kya sabqa ?
Un khuwabon se nafrat mat karna....Jo kabhi humne aik sath mik ka daikhe thay
K kisi 'pekar e badnaseeb" ghinaaone pan se ......Bhal in roshan tabeeron ka kya rabta ?
Bas mujh hi se nafrat karna .... K meri rooh ki siyahi se hi ... Char soo yeh andhera hai...
Meri badsoorti ki wajah se hi..... Duniya ka har rang pheeka hai....Har raah be raah hai...
Har nazara makroo hai..... Har khuwab seraab hai...
Bas mujhse hi nafrat karna....K sirf main...Aur bas main hi ....Tumhari is nafrat k qabil hoon...
Wednesday, January 22, 2014
Monday, January 20, 2014
Jo Chala Gya Mujhe Chor K Main Kabhi Na Us Ko Bhula Saka
Jo Chala Gya Mujhe Chor K Main Kabhi Na Us Ko Bhula Saka
Wohi Dorian Wohi Fasle Main
Kabhi Na In Ko Mita Saka.
Kya Use B Mujh Se Pyar Tha
Ya Tabussum Us Ka Shuar Tha
Wo Koi Ajib Sawal Tha Jo Meri Samajh Mein Na Aa Saka
Meri Zindagi Ka Sakoon Tha Wo Mere Dil Ka Ik Janon Tha
Meri Bandagi Mera Pyar Tha
Yehi Bat Na Main Bta Saka
Yehi Sochta Tha Main Raat Bhar wo Kabhi Mile Ga jo Raah Par
To Karon Ga Us Se Shikaitain
Mujhe roz o shab ki kitab main
Mujhe roz o shab ki kitab main
koi aisa harf na mil saka
jisy misl e gul ka khitab don
jisy chandni ki si taab don
jisy dhond kar
jisy khoj kar
rukh e aasman pe saja bhi don
mery khon e dil ki nigaarshen
meri roh tak k fishaar bhi
yahan ilm o fun ki dukan per
bary sastey damon se bik gaye
mujhe tor kar
mujhe phor kar
mery doston ne jala dya
rah e zindagi k ghubar main
meri raakh tak ko ura dya
mujhe bhir bhi koi gila nahi
jo mila nahi so mila nahi..
mujhe maut ki godh mein sone de
mujhe maut ki godh mein sone de
jism se rooh ko ruswa hone de
mila hai mujhe apna saathi
seene se lagkar uske rone de
mil gaya hai mera humsafar
issi ke ishq mein mujko khone de
mila hai mauka panaah ka aaj
kam se kam isi ki ahmiyat mein hone de
zindagi ne kabhi khushi nahi di
maut ki hi baahon mein lipat kar sone
de
mujhe maut ki godh mein sone de
issi ke ishq mein mujhko khone de…
Aise wo mere shahr ki taqdeer sy khaile.
Aise wo mere shahr ki taqdeer sy khaile.____
____________
Jaise koi bacha kisi tasveer se khaile.____!!!!
___________
Rahna hy usy or B kuch roz qafas mein,_____
________
Qaidi sy kaho sabar ki zanjeer se khaile._____!!!!
_______
Utra hy mere zehan sy paikar tera lekin,____
________
Dil ab B teri lams ki taaseer sy khaile._____!!!!!
_______
Mumkin tha Mohabt mein humain maat na hoti,_____
______
Ye khail magr hum bari taakheer sy khaile._____!!!!
____
Ye zeest ki bazi na tere hath rahe gi,______
___
TU lakh isy ghor sy tadbeer sy khaile.______!!!!!
Kon Jany K Tujhy Yaad Bhi Hay Ya K Nahi….
Kon Jany K Tujhy Yaad Bhi Hay Ya K Nahi….
Mein Ek Khat Tumhien Likha Tha Pareshani Mein..
Mein Nay Likha Tha Zaroorat Hay Sahary Ki Mujhy…
Do Sahara Jo Mujhy Tum To Inayat Hogi…
Ek Sahary Ki Tumhein Bhi To Zaroorat Hogi…
Kar Lo Shamil Mujhy Ankhoon Ki Nighabani Mein..
Mein Ek Khat Tumhien Likha Tha Pareshani Mein..
Mein Nay Likha Tha Mera Koi Nahi Dunya Mein..
Mein K Aakaash Pay Jesy Koi Badal Tanha…
Jesy Basti Ho Kisi Morr Pay Peepal Tanha…
Jesy Murjhaya Huwa Koi Kanwal Pani Mein…
Mein Ek Khat Tumhien Likha Tha Pareshani Mein..
Mein Nay Likha Tha Magar Ye Mujhy Maloom Na Tha….
Mein Tumhien Rooh Ki Jageer Nahi Likh Sakta….
Khat To Likh Sakta Hoon Taqdeer Nahi Likh Sakta…
Bhool Jana K Khata Ho Gai Nadani Mein…
Mein Ek Khat Tumhien Likha Tha Pareshani Mein..
Fankaar hy to Haath pe Sooraj Saja k laa,,
Fankaar hy to Haath pe Sooraj Saja k laa,,
Bujhta hua Diyya Muqaabil Hawa k laa,.,
Darya ka Inteqaam Dabbo de na Ghar Tera,,
Saahil se Roz Roz na kankar Utha k laa,.,
Thori si Aur Mouj Mein aa
“Ay Hawa-e-Gul”,,
Thori si Us k Jism ki khushbo Chura k laa,.,
Garr dekhna hy Ehl-e-MASHIYAT ka Hosla,,
Maidaan se Ghar mein ik Maiyyat Utha k laa,.,
“KHAN”ab Uska Naam hy Sab ki Zuban par,,
Kis ne kaha tha Usko Ghazal mein Saja k laa.
Abhi kuch bhi nahin badla,
Abhi kuch bhi nahin badla,
Darakhton par wohi mausam abi tak muskuratey hain,
Abhi tak surmeyi shamain hamarey sath roti hain,
Abhi tak mere honton per tumhare honton ki khushbu
Raqss karti hai,
Abhi tak meri ankhon mein tumhare khawb hanstey hain,
Abhi tak mere hathon per tumhari ungliyon
ki narm pooron se likhey sab harf
zinda hain,
Abhi tak mere seeney mein tumhari saans chalti hai,
Abhi to raston par doodhiya pairon se parney waley
sarey naqsh qayem hain,
Abhi almaariyon mein sarey tohfey gungunatey hain,
Tumhare khat abhi bhi raat ki tanhai mein mujh se,
Tumhari baat kartey hain,
Bohat se saal guzrey hain,
Bohat se waqt beeta hai,
Meri chahat nahin beeti,
Meri himmat nahin guzri,
Abhi kuch bhi nahin badla,
Abhi kuch bhi nahin badla,
Agar chaho,
Agar samjho,
Meri maano,
To laut aao…
Kaheen ISHQ ki dekhi Ibtida...
Kaheen ISHQ ki dekhi Ibtida...
Kaheen ISHQ ki dekhi Intiha...
...
Kaheen ISHQ Sooli pe Charh gaya...
Kaheen ISHQ ka Nezay pe Sir gaya...
...
Kaheen ISHQ sajday mein gir gaya...
Kaheen ISHQ Sajday se phir gaya...
...
Kaheen ISHQ dars-e-wafa bana...
Kaheen ISHQ husn-e-ada bana...
...
Kaheen ISHQ nay sanp say daswa diya...
Kaheen ISHQ ne namaz ko Qaza kiya...
...
Kaheen ISHQ saif-e Khuda bana...
Kaheen ISHQ sher-e-Khuda bana...
...
Kaheen ISHQ Toor pay deedar hai...
Kaheen ISHQ zibah ko tayyar hai...
...
Kaheen ISHQ nay behka diya...
Kaheen ISHQ ne Shah-e-Misr bana diya...
...
Kaheen ISHQ ankhon ka Noor hai...
Kaheen ISHQ Koh-e-Toor hai...
...
Kaheen ISHQ 'tu hi tu' hua...
kaheen ISHQ ALLAH Hoo hua...!!
Subscribe to:
Posts (Atom)