Welcome to my blog!

Meet the Author

Blessed with the best _ Alhumdulillah!a million times for every blessing in my life.

Looking for something?

Subscribe to this blog!

Receive the latest posts by email. Just enter your email below if you want to subscribe!

Tuesday, June 3, 2014

Junoon-E-Dill Nahin Badlaa Sitamgar Bhi Nahin Badla.


Junoon-E-Dill Nahin Badlaa Sitamgar Bhi
Nahin Badla.

Yahi Duniyaa Ka Charkhaa Hai Ye
Chakkar Bhi Nahin Badla.

Yahaan MaQtool
Ka Chaheraa Badaltaa Roz Hai Lekin.

Nahin Badla To Qaatil Aur Khanjar Bhi
Nahin Badla.

Sabhi Saffaak Lahroon Ki Hai
Koshish Raasta
Badlon.

Magar Main Nay Ye Kashti Ye Samandar Bhi Nahin Badla.

Yahaan Mosam Badaltay Hain Yahaan Chahry Badaltay Hain.

Main Apny Ap Ko Lekin Badal Kar Bhi Nahin Badla.

Na Main Rastaa Badalta Hun Na Main Wapis Palat'ta Hun.

Giraataa Roz Hai
Mujh Ko Wo Thokar Bhi Nahin Badla.

Main Jaisa Hun Main Waisaa Hun Sabhi K Saamny Hi Hun.

Main Andar Say Nahin Badla Main Baahir Bhi
Nahin Badla.

Kabhi Jo Dil Badal Payaa To Dilbar Bhi Main Badloon Ga.

Abhi Dill Bhi Nahin Badla To Dilbar Bhi
Nahin Badla ./.

No comments:

Post a Comment

')