Aankh se gir gaye unki nahin qeemat koi
Heere tou wo ansoo hain jin ko pee jaate hain hum
Saath chalne ki hai tamanna, par paaon hain zakhmi mere
Aage nikal jaati hai dunya, peeche reh jaate hain hum
Bas ye mushkil aakhri hai, aage hain aasaanyan
Har nayi mushkil pe youn apne dil ko samjhaate hain hum
Raah e ulfat ke musafir jab bhatakte hain tou unhein
Shummein ashkon ki jala kar raah dikhlaate hain hum
Ghum ko apne saamne dunya ke ruswa kyun karein?
Dil pe jo lagti hain chottein huns ke seh jaate hain hum
Dukh dye to jhelne ki taab bhee Allah ne dee
Har ghari sad shukr Maalik ka baja laate hain hum!
No comments:
Post a Comment