Kahkashan Khan Blog This page is dedicated to all the art, poetry, literature, music, nature, solitude and book lovers. Do what makes your soul happy. Love and Peace. - D
Saturday, May 31, 2014
Oojhal Sahi Nigaho Se, Dooba Nai Hon Men,
Oojhal Sahi Nigaho Se,
Dooba Nai Hon Men,
Ae Raat khabardar k Hara Nai Hon Men,
Darpesh Subh-o-Sham Yehi kash'makash Hy Ab,
Us Ka Banoon Me Kesy, K Apna Nai Hon Me,
Mujh Ko Farishta Hony Ka Dawa Nai Mgr,
Jitna Bura Samjhty Ho Utna Nai Hon Me,
Iss Tarha Phair Phair K Batein Na kejiye,
Lehjay ka Rukh Samjhta Hon Bacha Nai Hon Me,
Mumkin Nai Hay Mujh Se Ye
Tarz-e-Munafqat,
Duniya Tery Mizaaj Ka Banda Nai Hon Me..
Kisi R0z Shaam K Waqt ...
Kisi
R0z Shaam
K Waqt ...
S0oraj K
Araam K Waqt ...
Mil Jaaye
Saath Tera ...
Haath Main
Le K Haath Tera ...
D0or Kahin
Tanhai Main ...
Dunya Se
Judaai Main ...
Apne Sang
ßithaa0n Tujhe ...
Dil Ka Kaal
Sunaa0n Tujhe ...
Teri Ezzat
Ehtraam Kar0n ...
Tere Haath0n
Ki Lakir0n Main ...
Talaash Apna
Naam Kar0n ...
Aa0 Ek
Eraada Karen ...
Phir Milne Ka
Waada Karen ...
Kisi R0z
"Shååm K Wåqt"...
S0oraj K Araam
K Waqt .
Yehi Rasm-e-Wafa hai
Yehi Rasm-e-Wafa hai
Honton py Dua hai Roye Na Koi Dil Har K
Kisi Jhonkay Ne Fiza k
Gham Ka Fasana Likh Diya Pholon K Rukhsar py
Gham Hain Ye Gehere
Aankhon me Jo Tehere
Lagte Hain Begane Kyun Apno k Chehre
Kaisi Aagan Hai
Kaisi Jalan Hai
Jalti Hai Nam Aankhon me Sham Sawery
Mere Sath Chali Tanhai
Tujh Se Jo Ye Nazar Milai
Rab'ba Haal Mera Tu hi Jane
Khudgarz Hain Log Deewane
Kaise Dil Ne Hamain Tarpaya
Jaane Kyun Ye Rog Lagaya
Kabhi Kabhi Log Apki Zindagi Main
Kabhi Kabhi Log Apki Zindagi Main Sirf Jane K Liyea Hi Aatay Haon....
Phir Chahai aapki Ghalti Ho Ya Nahin Ho ____Unko Jana Hi Hota Hai ___
Kiun K Aage Ki Kahani Main Un Ka Kirdaar Nahin Likha Gya Hota ___
Istarah Zindagi Kabhi To Khushyoin Ko Hasil Karne K Raste Dhoond Nikalti Hai __
Nahin to Apni khuwahishat Ko Waheen K Waheen Mehdood Kar Dyti Hai___
Aur Istarah Aik Hansti Basti Zindagi Ka Start Layne Se Pehle Hi End Ho Jata Hai ___
Friday, May 30, 2014
Thursday, May 29, 2014
Mukamal kuch nahi hota,
Usay kehna!
Mukamal kuch nahi hota,
Milna b adhora hy,
Judai b adhoori hy,
yahan ek mout poori hy!
Usay kehna!
Udasi jab ragon mein,
Khoon ki manind utarti hy,
Bohat nuqsan karti hy!
Usay kehna!
Parindon ki judai pe,
Shajar jab bain karte hain,
Bohat bechain karte hain!
Usay kehna!
Bisaat-e-Ishq mein,
Jab maat hoti hy,
Dukhon k shehar mein,
Jab raat hoti hy,
Ham us dam apni ankhon mein,
USAY abad karte hain..
Usay kehna!
USAY HAM YAAD KARTE Hain..!!
Sometimes you just gotta run away
Sometimes you just gotta run away so you can see who will come after you Sometimes you just gotta talk quieter just to see who's listening Sometimes you've gotta step up in a fight but only to see who's standing by your side Sometimes you've gotta make a wrong decision only to see who's dere to fix it And sometimes You've gotta let go of da one you love just to see if dey will ever come back
Wednesday, May 28, 2014
"Haa ye sach hai k
"Haa ye sach hai k mujhe
tumse Mohabbat hai,,
.
Ye bhi sach hai k
main tumhari chahat
hun..
.
Par meri zindagi me
chahato ki kami to
nhi...
Rishte or bhi hai
ek sirf tum hi to nhi.."
Apni zaat k is pehlu se
ajj milwaaon
tumhe..??
Main kya hun, kaisi hun
batlaaon tumhe..??
.
Apni Maa ki tarbiyat hun main,
Izzat hon apne Papa ki,
Maan hun apne bhai ka,
Nishaan hun apni behno ki parchai ki,
To behak jaaon main
yeh kabhi mumkin
hi nhi...
.
Ke Dil woh sab bhi toh
rakhte hai,
ek sirf tum hi to nhi
Tuesday, May 27, 2014
wo kaisa shakhs hai k her roz saza deta hay
wo kaisa shakhs hai k her roz saza deta hay
phir hansata hay wo itna k bhula deta hay
kabi jo ro day to mujko b bhool jata hay
aur phir bhool k mujko b rula dayta hay
us say poochon k bata kis say muhabat hay tumhai?
Naam sargoshi main mera hi suna dayta hay
khud he kehta hai na dohraon purani yadain
main na dohraon to phir khud he suna deta hay
khud he likhta hai k jazbat main halchal na karo,
aur phir khud he nayee aag laga deta hay
Dil-e-Wehshi Ko Ab Aisi Saza Di Jaye
Dil-e-Wehshi Ko Ab Aisi Saza Di Jaye
Jab Bhi Ye Bolay To Awaaz Daba Di Jaye
La Taaluk Se Jab Rehney Lagen Ghar K Makeen
Phir Ye Behtar Hai K Ghar Main Dewaar Utha Di Jaye
Jab Kabhi Dost Tumhen Khud Sey Bezaar Lagay
Aisay Her Dost Ko Na Milney Ki Saza Di Jaye
Jis Se Dar Ho Kabhi Aashian K Jalney Ka
Aisi Har Shama Sar-e-Sham Bujha Di Jaye
Kocha'ey Yar Main Jab Barhney Lage
Us Ki Jaanib Se Wafa Ho Kabhi Aisa Bhi To Ho
Us Ki Jaanib Se Wafa Ho Kabhi Aisa Bhi To Ho
Be-Talab Jalwa-Numa Ho Kabhi Aisa Bhi To Ho
Meri Aankho'n Se Gire Aap K Haathon Mein Rache
Ye Lahu Masal-E-Hina Ho Kabhi Aisa Bhi To Ho
Zard Musam K Siwa Kuch Nahi Dekha Hum Ne
Barg-E-Umeed Hara Ho Kabhi Aisa Bhi To Ho
Ye Bahane To Tere Roz Ka Qesa Thhere
Tujh Se Wada Bhi Wafa Ho Kabhi Aisa Bhi To Ho
Dewtaa Ban K Sazaon Se Bacha Rehta Hai
Tujh Se Bhi Koi Khata Ho Kabhi Aisa Bhi To Ho
Zindagi Hai Meri Tarasti Huwi Tanha Kab Se
Jaam Ho To Ho Ghata Ho Kabhi Aisa Bhi To Ho
Kabhi wo Paas Hota Hai Kabhi wo Door Hota Hai
Kabhi wo Paas Hota Hai Kabhi wo Door Hota Hai
.
.
Kabhi Palkein Bichaata Hai Kabhi Maghrur Hota Hai
.
.
Kabhi Naraaz Hota Hai wo sun Kar Guftagu Meri
.
.
Kabhi Khamoshiyon Main Bhi Bohat Masroor Hota Hai
.
.
Kabhi wo Faisla Karta Hai Mujh Say Door
Rehne Ka
.
.
Kabhi Mere Hawaale Say wo Khud Mash'hoor
Hota Hai
.
.
Kabhi wo Chahta Hai Lena Apne Payar Ki Qeemat
.
.
Kabhi Be-Daam Bikna Bhi usy Manzoor
Hota Hai..
Ab Na Woh Shor Na Woh Shor Machaane Waale
Ab Na Woh Shor Na Woh Shor Machaane Waale
Khaak Se Baith Gaye Khaak Uraane Waale,
Yeh Alag Baat Muyassar Lab-e-Goyaa Na Howa
Dil Mein Woh Dhoom K Sunte Hain Zamaane Waale,
Dil Saa Wehshi kabhi Qaabu Mein Na Aayaa Yaaro
Haar kar Baith Gaye Jaal Bichaane Waale,
Teri Qurbat Mein Guzaare Howe kuch Lamhe Hain
Dil ko Tanhaai kaa Ehasaas Dilaane Waale.'
Monday, May 26, 2014
Wo itney Nazuk Hain...
Ruko to tum Ko Bataen Wo
itney Nazuk Hain...
Kali Akelay Uthaen, Wo itney Nazuk Hain...
tabeeb Ne Kaha, Ger Rang Gora Rakhna Hai..
to Chandni Se Bachaen, Wo itney Nazuk Hain...
Kali Chatakney Ki GoonJay Sadaa to Nazuk Haath..
Haseen Kaano Pe Laaen, Wo itney Nazuk Hain...
Paseena Aaey to Do titliyaan Qareeb Aa Ker..
Paron Ko Sur Mein Hilaaen, Wo itney Nazuk Hain...
Wo Geet Gaaen to Honton Pe Neel Par Jaen..
Sukhan Pe Pehray Bithaen, Wo itney Nazuk Hain...
Wo Paanch(five) Khat Likhen to Shukria Ka Lafz Baney..
zara Hisaab Lagaen, Wo itney Nazuk Hain...
Gawahi Denay Wo Jatey to Hain.. Per Un Ki Jaga..
Qasam Bhi Log Uthaen, Wo itney Nazuk Hain...
Bas is Daleel Pe Kartey Nahi Wo Saal-Girah..
K Shamma Kaise BuJhaen, Wo itney Nazuk Hain...
Wo Sair Subha Ki Karte Hain Khawb Mein Chal Ker..
Wazan Ko So K Ghataen, Wo itney Nazuk Hain...
Kali Ko Soonghen to Khushbu Se Pait Bhar Jaey..
Nihaar Moun Yehi Khaen, Wo itney Nazuk Hain...
Wo Dharkano Ki Dhamak Se Larazne Lagtey Hain..
Galay Se Kaise Lagaen, Wo itney Nazuk Hain...
Wo thak K Choor Se Ho Jatey Hain Khudara Nahi..
Khayaal Mein Bhi Na Laaen, Wo itney Nazuk Hain.....
Dil Bhar Jaey Hasrato’n Se To Bata Dena
Dil Bhar Jaey Hasrato’n Se To Bata Dena
Jo Ho Jaey Khata Pal Bhar Mei Jata Dena
Na Badalna Fitrat Waqt Ki Aaghosh Mei’n
K Hai Nafrat Khudi Ko Niya Insaa’n Dena
Jo Banta Hai Yaado’n Ka Aangan Saath Mei
Bas Khaak Samaj K Usko Urra Dena
Ho Giya Aasa’n Jo Is Door Mein Ab
Ji’taa K Mohabbat Phr Ussey Ga’nwa Dena
Mei To Rahu’n Ta Umer Shuker Ik Dedaar Ka
Tujhy Jis Ki Hameesha Aa Ke Sadaa Dena
Hai Aarzo Ik Baar To DIL Se Dua Dena
Ho Sakay Apnay Nafs Ki Chaadar Jala Dena
Dil Bhar Jaey Hasrato’n Se To Bata Denaa..!!
Subscribe to:
Posts (Atom)