Shaa'ur Ka Aik Satah Woh Hai .... Jahan Isaan Badkalami Ka Jawab Badkalami Se Dyta Hai .... Pathar K Jawab Main Eent Dy Marta Hai .... Shaa'ur Ki Dusri Satah Wo Hai .... Jahan Isaan Badkalami K Jawab Main Khamoshi Iktiyaar Kar Jata Hai .... aur Badkalami Karne wale Ko apne Haal Pa Chor Dyta Hai .... Shaa'ur Ki Aik Teesri Satah Bhi Hai ....Is Main Insaan Na Sirf Yeh K Apne Jazbaat Par Qaaboo Pata Hai Balke Bure Ikhlaaq Ka JAwaab Behtreen Ikhlaaq Se Dyta Hai ....Shaa'ur Ki Yehi Teesri Satah Hai Jo Badtreen Dushman Ko Behtreen Dost Main Tabdeel KAr Dyti Hai ....Aur Jis Ki Wajah Se Mashraa Main Acha Ikhlaq Parwan Charta Hai ...!
great!!
ReplyDelete