Welcome to my blog!

Meet the Author

Blessed with the best _ Alhumdulillah!a million times for every blessing in my life.

Looking for something?

Subscribe to this blog!

Receive the latest posts by email. Just enter your email below if you want to subscribe!

Saturday, July 12, 2014

Sochta hoon ke bohat sada-o-masoom hai wo


'
Sochta hoon ke bohat sada-o-masoom hai wo
Main abhi us ko shanasa-e-muhabbat na karoon
Rooh ko us ki aseer-e-gham-e-ulfat na karoon
Us ko ruswa na karoon waqf-e-museebat na karoon

Sochta hoon ke abhi ranj se azad hai wo
Waqif-e-dard nahien, khoogar-e-alam nahien
Sehr-e-aish mein us ki asar-e-sham nahien
Zindagi us keliye zehr bhara jam nahien

Sochta hoon ke muhabbat he jawani ki khizan
Us ne dekha nahien dunya mein baharon ke siwa
Nik'hat-o-noor se labraiz nazaron ke siwa
Sabza zaron ke siwa aur sitaron ke siwa

Sochta hoon ke gham-e-dil na sunaoon us ko
Samne us ke kabhi raz ko uryan na karoon
Khalish-e-dil se usay dast-o-garayban na karoon
Us ke jazbat ko mein shola ba-daman na karoon

Sochta hoon ke jala de gi muhabbat us ko
Wo muhabbat ki bhala taab kahan laye gi
Khud to wo atish-e-jazbat mein jal jaye gi
Aur dunya ko is anjam se taRpaye gi

Sochta hoon ke bohat sada-o-masoom hai wo
Main usay waqif-e-ulfat na karoon 

2 comments:

  1. ye poetry to meri muhabaat k haqiqt bayaan krti same yehai poetry hai mere mehboob ki my bhi yehi sochta hon k usse shanassa_E_muhabat na karoon pr kya kron usy bhola nhi skta

    ReplyDelete

')