Tumne Dekhi Hai Kabhi
Ishq K Mast Qalander Ki Dhamaal
Dard Ki Laye Main Patkha Hua Sir Aur Tarapta Hua TanMan.
Pairh Pathar Pa Bhi Par Jayen to Dhool Uthne Lage
Aur Kisi Dehaan Main Lipta Hua Yeh Hijar Zada Jisam
Raqs Karta Hua Agr Jaye Kaheen
To Zameeen Dard Ki shiddat Se Tarapne Lag Jaye
Hijar Ki Lambi Musafat Ka Ridham Ghoron Ki Tapon
Main Gandah Hai
Raqs Darasal Riyazat Hai Kisi Aise Safar Ki
Jise Woh Kar Nahin Paya
Tumne Dekhe Hain Kabhi
Sheher K Wast Main Gharyal K Rondey Hue Pal
Jin Main Chaht K Hazaron Qis'se
Ishq K sabz Ujale Main Kaaiii Zard Badan
Apney Honey Ki Saza Kaat Rahai Hain
Tumne Dekhai Nahin Shahyed
Ishq Main Haare Hue Jisam
Jisam Aise K Jo KAbhi Poore Bhi Kat Jayen
To Phr Khoon K Jagah Ashk Nikalte Hain Wahan
Hasraten Dil Main Chupaaye Hue Kuch Log Yahan
Dam Badam Behti Hui Ankhon Se Likhte Hain Kahani
Ye Naaii Baat Nahin
Waqiya Aik Hai K kirdaar Badal Jate Hain
Aik Teesh Hai Mgr waar Badal Jaye Hain !
No comments:
Post a Comment