Bojhal Palkein, Bimaar-o-Beqaraar Nazrein
Kashmakash Mein Hain Mubtala Lachaar Nazrein
Gar Chahein To Jheel Jaayein Hazaar Gham
Ji Chahein To Baras Parein Gaddaar Nazrein
Dukh Hone Lagta Hai Chehre Par Numayan
K Jab Kabhi Hoti Hain Aabdaar Nazrein
Anjar Panjar Kar Daala Zamane Ne Dheela
Dikhne Lagi Hain Naheef-o-Nazaar Nazrein
Ho Gaya Dushwaar Duniya Mein Do Pal Ka Jeena
Sab Bayaan Karne Lagi Razdaar Nazrein
Dua-e-Kher Karo Paaris K Haq Mein
Naqahat Mein Hain Mubtala Mumtaz Nazrein
You Should Add My Reference At The End Of Ghazal.
ReplyDelete