Hum nagri nagri jate hain aur ghar ghar geet gaatey hain
Hum galiyon galiyon aangan aangan pyar ke deep jalate hain
Hum khushbu ke saudaagar hain aur sauda sacha karte hain
Jo gaahak phoolon jesa ho hum bin’daamon bik jate hain
Hum sheher-e-wafa ke logon ka tum haal bhla kya jano ge
Hum dil ko chot chupatey hain aur aansu pee jatey hain
Jo log sharafat waley hain woh qadrey buzdil hite hain
Dushman se nahin dartey woh magar kam’zarfon se ghabratey hain
Hum sachey hain yeh kese kahen sach sab ke bass ki bat nahin
Jo sachhi baatain karte hain woh peghambar kehlaatey hain
Iqbaal to adnaa’a hadim hai arbaab ilm-o-danish ka
Yeh aap ka husn-e-samaat hai jo is pe karam farmaatey hain..
No comments:
Post a Comment