کیا اس سے کبھی تیرا جانا ہوا ،
جہاں سے زمانے کو گزرے زمانہ ہوا ۔
Song: Khamoshiyan 🌻
Yaqenan har kise ki zindage mein bohat say ese rasty ,galiiyaan aur purany alfaz hotay hay jo Unky chahny waly unhy tohfay ki suraat naawaz jaty hay phir usky baad unhy uss rasty se guzrty hui kese pehli barish me sath bheg jana yaad ajyee ya use rasty se guzrty huay kse ka akhiri deedar yaad ajye .mai aajj bhe un rasto se guzrti hu jinme tm hamesha sath hotay thay aur tumhari khushbu ka tasalsul barqarar rehta tha, aj bhe uss surqh gulaab se mjhy wese hi khushbu aati hay jo pehli bar mehsus hui , jab tum canteen me ghanto mery samny khamosh rahy uss waqt ki aziyaat bhe yaad hay mujhy . najany kaaiy salon baad bhe hum logo ki di hui mohaabato aur qurbaton ko bayan nahi karskty bhaly zamana uss gali se jitna aagy nikl jaaye mai uss jagah ajj bhe tumhy apny sath ghumta hua dekhti hu jaha hum khush thy.thy na? aur abb, mehaaz waqt ki farham karda chand yaaden hai.
میرا سمئے تو وہی پہ ہے ٹھہرا ہوا ،
بتاؤ تجھے کیا ؟ میرے ساتھ کیا کیا ہوا .
خاموشیاں 🌻
No comments:
Post a Comment